Volume 8
Mohabbat khuwab hoti hai.
Barri be'taab hoti hai.
Jo koi pooch baithy to,
Mohabbat raaz hoti hai.
Machalti si umangon ka,
Suhana sath hoti hai.
Jo koi dhoondna chahy,
To ye naayab hoti hai.
Mohabbat phool hai shayad,
Ghamon ki dhool hai shayad,
Chamakti raat hai shayad,
Kisi ki yaad hai shayad,
Mohabbat pur'sakoon bhi hai,
Magar be'taab hoti hai.
Agar mil na saky to phir,
Adhoora khuwab hoti hai.
Jo koi dhoondna chahy,
To ye naayab hoti hai.
Mohabbat khuwab hoti hai.
Jal jaaon khamoshi sey karri dhoop main laikin,
Apnon sey kabhi saya-e-deewar na maangoon.
Muhabbat cheez aisi hai.
Kabhi hoti hai apnon sey,
Kabhi hoti hai sapnon sey,
Kabhi anjaan raahon sey,
Kabhi gum'naam naamon sey,
Muhabbat cheez aisi hai.
Kabhi hoti hai phoolon sey,
Kabhi bach'pan k jhoolon sey,
Kabhi be'ikhteyari main,
Kabhi pakky usoolon sey,
Muhabbat to muhabbat hai,
Muhabbat ik sadaaqat hai,
Muhabbat ik ibadat hai,
Muhabbat cheez aisi hai,
Dukhon main rol daiti hai,
K dard anmol daiti hai,
Zehar bhi ghol daiti hai,
Muhabbat cheez aisi hai.
Palat kar aankh num karna mujhy hargiz nahi aata.
Gaye lamhon ka gham karna mujhy hargiz nahi aata.
Mohabbat ho to be'had ho, nafrat ho to be'panaah,
Koi bhi kaam kam karna mujhy hargiz nahi aata.
Be'lous Mohabbat k silsily ab khatam,
Ab jis tarha ki duniya, usi tarha k ham.
Ishrat-e-qatra hai darya main fanaa ho jana,
Dard ka had sey guzarna hai, dawa ho jana.
Kitab-e-ishq likhny ki mujhy fursat nahi Sahib,
Abhi tak be'wafai par meri tehqeeq jaari hai.
Ik ye khuwahish k koi zakhm na daikhy dil ka,
Ik ye hasrat k koi daikhny wala hota.
Milta kuch bhi nahi sab kuch luta kar Mohabbat main,
Sar jhuka k guzar jaao agar koi pyar sey daikhy.
Tujhy khabar hai k tujhy sochny ki khatir.?
Bohat sey kaam men muqaddar pey chorr daita hoon.
Hamary dil ko koi maangny na aaya,
Kisi ghareeb ki baiti ka hath ho jaisy.
Mujhy har kaam sey pehly,
Sehar sey shaam sey pehly.
Yehi ik kaam karna hai,
Tumhara naam laina hai,
Tumhi ko yaad karna hai,
K jab bhi dard peena hai,
K jab bhi zakhm seena hai,
Gham-e-duniya sey ghabra kar,
Mujhy jab jaam laina hai,
Tumhara naam laina hai,
Tumhi ko yaad karna hai,
Tumhari yaad hai dil main,
K ik sayyad hai dil main,
Koi bar'baad hai dil main,
Usy aabad karna hai,
Tumhara naam laina hai,
Tumhi ko yaad karna hai.
Baat sirf itni hai k, zindagi ki raahon main,
Sath chalny walon ko, ham'safar nahi kehty.
Meri manzilain bhi ajeeb theen, mera faiz bhi tha kamaal par,
Kabhi sab kuch mila bina talab, kabhi kuch na mila sawal par.
Anaa k morr pey bichrry to ham'safar na mily,
Ham aik shehar main reh kar bhi umar bhar na mily.
Mout ney chupky sey na'jany kya kaha,
Or zindagi khamosh ho k reh gayee.
Ham to Mohabbat main bhi touheed k qaayal hain,
Aik hi shakhs ko mehboob bana rakha hai.
Tumhari yaad bhi "Mohsin" kisi muflis ki poonji hai,
Jisy ham sath rakhty hain, jisy ham roz ginty hain.
Har morr par mil jaaty hain ham'dard hazaron,
Shayad meri basti main adaa'kaar bohat hain.
Kisi ki ankh bhi khulti hai to sony ki nagri main,
Kisi ko ghar banany main zamany beet jaaty hain.
Tum sey gila kiya na zamany sey kuch kaha,
Barbad ho gaye hain barri saadgi sey ham.
Hai yaqeen k tu bhoola nahi mujhy laikin,
Ye bhi sach hai k tujhy meri yaad nahi aati.
Bicharrna hai to suno, rooh sey nikal jaao,
Rahi baat dil ki? to usy ham daikh lain gey.
Wo murawwat sey mila hai to jhuka doon gardan,
Mery dushman ka koi waar na khaali jaye.
Hamari kashtiyan to be'yaqeeni k bhanwar main hain,
Chalo acha kiya ham sey kinara kar liya sab ney.
Zulm ye k musalsal teri begana ravi,
Lutf ye k men phir bhi tujhy apna samjoon.
Jab waqt aaya to bik chuka tha,
Hamen ameer hony main zamany guzar gaye.
Tujhy chorroon to mar na jaaon kahin,
Us be'wafa ki ye baat bhulai nahi jaati.
Mujhy nahi pata ye sudhar gaya ya bigarr gaya,
Bas ab ye dil kisi sey Mohabbat nahi karta.
Yaad-e-maazi azab hai Ya Rab,
Cheen ley mujh sey hafiza mera.
Zindagi, jis ka naam barra suna hai ham ney,
Ik kamzor si hichki k siwa kuch bhi nahi.
Mohabbat moum hai laikin,
Mujhy pathar bana dala.
Ik laa'mehdood udasi hai,
ik be'panah Mohabbat k baad.
MUJHY AADAT SI HO GAYEE HAI.
Bheegi bheegi aankhon sey sony ki.
Jhooty mooty khuwab pirony ki.
Kisi ko pany ki, kisi ko khony ki.
Tanhaiyon main be'wajah rony ki.
Chup chaap takleefon ko sehny ki.
Khud ko bura bhala kehny ki.
Tanhai ki duniya main rehny ki.
Tufan-e-zindagi main behny ki.
MUJHY AADAT SI HO GAYEE HAI.
Muhabbat k liye tarasny ki.
Bina badal barasny ki.
Aansuwon k sang hasny ki.
Khuwabon ki duniya main basny ki.
HAAN, MUJHY AADAT SI HO GAYEE HAI.
Dil ko is faraib main rakha hai umar bhar,
Is imtehan k baad koi imtehan nahi.
Barrha rahi hain mera dukh nishaniyan teri,
Men tery khat, teri tasweer tak jala doon ga.
Kitni jhooti hoti hain Mohabbat ki qasmain,
Daikho tum bhi zinda ho or men bhi.
Dasht-e-duniya main umeedon ka kinara ley kar,
Main tujhy yaad karoon ik umer dobara ley kar.