World's Ever Best Urdu Poetry

Special Offer
To receive the World's Ever Great Messages Collection on your Mobile;

Barish (Rainy Poetry)

Jab men ney us sey poocha tha,
Kya dhoop main barish hoti hai?
Wo hansty hansty rony lagi.
Or dhoop main barish hony lagi.
Wo naazuk si kali, murjha si gayee,
Or ro kar mujh sey kehny lagi,
Tum chorr na jana o sajan,
Dil torr na jana o sajan,
Tum kya jano dhoop ki barish,
Tum kya jano hijar k gham,
Jab tum door they mujh sey o sajan,
Mery hath ki choorri or kangan,
Jab geet tumhary gaaty they,
Mujhy yaad bohat tum aaty they,
Men hansty hansty roti thi,
Or dhoop main baarish hoti thi.

Aanchal uski yaadon ka bhigo daiti hai Barish.
Sochon pey jami gard ko dho daiti hai Barish.
Hans hans k sunaati hai jahan bhar k fasany,
Poochon us k baary main to ro daiti hai Barish.
Lagty hain pyary meri aankhon ko ye manzar,
Hairat mery ehsaas ko wo daiti hai Barish.
Yaadon ki mehak ho ya us k hijar k taany,
Chup chaap men rakh laita hoon jo daiti hai Barish.
Mujh par to jo karti hai, so karti hai inaayat,
Moti us k baalon main piro daiti hai Barish.

Teri yaadon ki barish barasti hai jab bhi,
Men bheegta zaroor hoon, magar palkon ki had tak.

Kabhi barish barasti hai,
To mujh ko yaad aata hai.
Wo mujh sey aksar kehta tha,
Muhabbat aik barish hai.
Sabhi pey jo barasti hai.
Magar phir bhi nahi hoti
Sabhi k waasty yaksan.
Kisi k waasty rahat,
Kisi k waasty zehmat.
Men aksar sochta hoon ab.
Wo mujh sey theek kehta tha.
Muhabbat aik barish hai.
Sabhi pey jo barasti hai.
Kabhi mujh pey bhi barsi thi.
Magar mery liye barish,
Kabhi na ban saki rahat.
Ye rahat kion nahi banti?
Kabhi men khud sey poochon to,
Ye dil daita duhaayee hai.
Kabhi kachy makanon ko bhi barish raas aayee hai?

Barish hui to ghar k dareechy sey lag k ham,
Chup chaap, sogwaar tumhen sochty rahy.

Chashm-e-num, teri yaad, or Barish,
Goya ik barish k baad, ir or Barish.

Barish ki Awargi ney har rut badal dali,
Jinhen mushkil sey bholy they wo phir yaad aa gaye.

Naye mausam ki khushboo sey chura kar aankh pal do pal..
Gaye mausam ki baatain sochta rehta hoon barish main.!

Suna hoga bohat tum ney,
Kahin aankhon ki rim jhim ka,
Kahin palkon ki shabnam ka,
Parha hoga bohat tum ney,
Kahin lehjey ki baarish ka,
Kahin saagar k aansoo ka,
Magar tumne kabhi humdam,
Kahin dekhey? kahin parkhey?
Kisi tehreer k aansoo???
Mujhey teri judaaii ney,
Yehi mai'raaj bakhshi hai,
Keh main jo lafz likhti hun,
Woh saary lafz rotey hain,
Keh main jo harf bunti hun,
Woh saarey bain karty hain,
Merey sang is judaai main,
Merey alfaaz martey hain,
Sabhi ta'reef kartey hain Meri tehreer ki lekin,
Kabhi koi nahin sunta,
Merey alfaaz ki siski,
Falak bhi jo hilaa daaley,
Merey lafzon main hain shaamil,
Usii taaseer k aansoo,
Kabhi dekho merey humdam,
Meri tehreer k aansoo..

Aaj phir urooj par hai mousam-e-barsaat ki rim jhim,
Aashiq mizaaj logon ki khuda khair kary.

Bach'pan ki wo ameeri na'jany kahan kho gayee,
Jab paani main apny bhi jahaz chala karty they.

 
 
 
 
 

Today's Visitors

Total Visitors

Today's Page Views

Total Page Views

 
This is a free homepage created with page4. Get your own on www.page4.com
 
Urdu Poetry 0