World's Ever Best Urdu Poetry

Special Offer
To receive the World's Ever Great Messages Collection on your Mobile;

Volume 6

Doob kar jis ney Mohabbat main adakaari ki.
Dil-e-saada ney bohat us ki taraf'daari ki.
Jaib main ley k umeedon k khanakty sikky,
Ham ney khawabon k jazeeron main khareedari ki.
Maatmi rang ka malboos pehan k dil ney,
Raat ujrry huey khawabon ki azadaari ki.
Theek hai dil ko lagaya tha kabhi bhooly sey,
Is ki qeemat bhi adaa ham ney bohat bhaari ki.
Dil k sehra main ugy hain Mohabbat k gulaab,
Mousam-e-Ishq main ham ney bhi shajar'kaari ki.

Haalaat mery mujh sey na maaloom kijiye,
Muddat hui hai mujh sey mera waasta nahi raha.

Mohabbat kya hai, do lafzon main tumhen batata hoon,
Tera majboor kar daina, or mera majboor ho jana.

Kis zaalim adaa sey wo apna bister chorrti ho gi "Wasi",
Khuli zulfain, band hont, Uljhi saansain or ghazab ki angrraaiyan.

Ab to aankon main samati nahi soorat koi,
Ghor sey men ney tujhy kaash na daikha hota.

Sab khaloos baaton main, sab karam khayalon main.
Bas zara wafa kam thi tery shehar waalon main.
Pehli baar nazron ney chaand bolty daikha,
Ham jawab kya daity? kho gaye sawalon main.
Raat teri yaadon ney dil ko is tarha chherra,
Jaisy koi chutki ley narm narm gaalon main.
Yoon kisi ki aankhon main subhat tak na thehry ham,
Jis tarha rahy shabnam phool k pyalon main.
Meri aankh k taary ab na daikh paao gey "Wasi",
Ham raat k musafir they, kho gaye ujaalon main.

Wo kehta hai bata tera dard kaisy samjhoon?
Men ney kaha Ishq kar, bohat kar, or kar k haar ja.

Ye Mohabbat to aik shararat hai,
Tum bachy to nahi, phir q ki?

Tum sey kaisy poochy koi tumhari udaasi ka sabab?
Tum to mousamon ka gila kar k taal daity ho.

Mout to naam sey badnaam hai warna,
Takleef to zindagi bhi diya karti hai.

Mohabbat k anokhy they sabhi andaaz kya karty?
Rahy ham bhi gurezaa'n, aap bhi naaraaz, kya karty?
Sanam mujh sey Mohabbat ka bhala aaghaaz kya karty?
Lafzon ney kehna chaha par, na thi aawaz kya karty?
Habib dil bhi kya karty? Mery dam'saaz kya karty?
Mujhy jab dard hi tha raas, chaara'saaz kya karty?
Hujoom-e-shehar main ham kho jaaty hain chain paany ko,
Akaily main staati thi teri aawaz kya karty?
Mery naazuk sey dil ko is ney pal main torr dala tha,
Isy bhaati thi tooty kaanch ki aawaz kya karty?
Saja kar wo tabassum kitny gham tum sey chhupaati thi,
Magar "Saqi", tum jaan kar wo saary raaz kya karty?

Dukh ney sukh ka saans liya hai,
Kaash k koi ab yaad na aaye.

Udaas shaam main wo lout aana bhool jata tha.
Kar k khafa mujh ko, manana bhool jata tha.
Inheen khaslaton ney us ki mujhy bad'naam kar dala,
Wo likh k naam deewaron pey mitana bhool jata tha.
Kitna dil'nasee'n hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha, zamana bhool jata tha.

Phool Mohabbat, khawar Mohabbat.
Jeet hai ya phir haar Mohabbat.
Aaj kahan farhaad sey aashiq,
Aaj kahan wo pyar Mohabbat.
Roz naya Yousaf bikta hai,
Misr ka hai baazaar Mohabbat.
Men hoon ghazal, gou naam hai Raaghib,
Mera faqat par'chaar Mohabbat.

Kisi par mar jaany sey hi to shuru hoti hai,
Goya Mohabbat zinda logon ka kaam nahi.

Ye chaahatain ye ronakain paaband hain mery jeeny tak,
Bina rooh k nahi rakhty ghar waaly bhi jism ko.

Ye ishq ho jaaye bar'baad,
Aaj mizaar pey diya jala k aaya hoon.

Zindagi bhar udaas rehna hai,
Sochta hoon to muskurata hoon.

Apni aankhon ko noch dala hai,
Khawab aaya tha phir Mohabbat ka.

Ghairon sey poochti hai tareeqa nijaat ka,
Apnon ki saazishon sey pareshaan zindagi.

Meri aankhain khareedo gey?
Bohat majboor haalat main,
Mujhy neelam karni hain.
Koi mujh sey naqad ley ley,
Men thorry daam ley loon ga.
Jo dey dey pehli boli,
Bas usi k naam kar doon ga.
Mujhy bazaar waaly keh rahy hain kam'aqal taajir,
Aey suno logo Men nahi hoon hirs ka khawahan,
Nafa nuqsaan ki shatranj,
Nahi men khailny aaya.
Koi mujh ko kahy na man'chala sa be'hunar taajir.
Bata paaon tumhen kaisy k kis tashveesh main hoon men?
Suno logo Barri mehboob hain mujh ko ye meri neem'tar aankhain.
Magar ab baicht hoon,
Inhen neelam karna hai.
***
Suno logo, meri aankhain khareedo gey?
Mujhy ik khawab ka taawaan bharna hai.
Ik aisa khawab jo jaagti aankhon sey daikha tha,
Bohat hi chaao sey or kitny armaanon sey daikha tha,
Magar daikhy huey is khawab ki taabeer ulti thi,
Nahi shikwa kisi sey, apni hi taqdeer ulti thi,
Jo ab tak ho chuka hai mujh ko wo nuqsaan bharna hai.
Ab aankhain baich kar hi khawab ka taawaan bharna hai.
***
Kya andhairon k dukh, kya ujaalon k dukh.
Jab hara dain muqaddar k chhaalon k dukh.
Jin ki aankhain nahi, wo na royen kabhi,
Jaan jaayen agar aankh waalon k dukh.
Meri manzil kahan? Ham'safar hai kidhar?
Maar daalain gey ab in sawalon k dukh.
Tum mily ho, tumhari Mohabbat nahi,
Hijar sey barrh gaye hain wisaalon k dukh.
Do gharri k liye paas baith jaaty agar,
Bhool jaaty ham kitny hi saalon k dukh.
Meri sochon k jalty huey dasht sey,
Chheen ley aa k apny khayalon k dukh.

Safar-e-zeest main tery saath ki khatir Jana
Un manzilon ko bhi chhorra hai jo mera muqaddar theen.

Socha aaj kuch tery siwa sochon,
Abhi tak isi soch main hoon, or kya sochon?

Ghar aa k bohat roya mazdoor ka bacha akaily main,
Matti k khilony bhi sasty na they maily main.

Peetal ki baaliyon main baiti bayaah di,
Or baap kaam karta tha sony ki kaan main.

Wo saanson sey bandhi zanjeer thi jo torr di ham ney,
Jaldi soya karain gey ab k Mohabbat chhorr di ham ney.

Bohat be-baak aankhon mai talluq tik nahi paata,
Mohabbat main kashish rakhny ko sharmana zaroori hai.

Bohat socha, bohat samjha, bohat hi dair tak parkha,
K tanha ho k jee laina Mohabbat sey to behtar hai.

Ik jabr hai ehsaas-e-wafa, ye dil main basana theek nahi.
Ab saaz-e-dil afsurda par, is geet ko gana theek nahi.
Tum bhool chuky ye sub behtar, tum chhorr chaly ye or acha,
Khawabon main magar majbooron k, yoon aana jana theek nahi.
Keh do k nahi ham mil sakty, keh do k koi majboori hai,
Laikin ye labon par laa laa kar, baaton ko chhupana theek nahi.
Aey shoq-e-janoon ab baaz bhi aa, kuch maan bhi ley tu mera kaha,
Jo jaan k bhi anjaan bany, gham us ko sunana theek nahi.
Ab chhorr bhi do deewana'pan, ab bhool bhi jaao maazi ko,
Aey shams ye pal pal khalwat main, Ashkon ko bahana theek nahi.

Tu hawa k haath pey chaahaton ka diya jalany ki zid na kar.
Ye udaas logon ka shehar hai, yahan muskurany ki zid na kar.
Men hoon doston ka dasa hua, mera gham hai had sey barrha hua,
Men shakista ghar ki misaal hoon, Mery paas aany ki zid na kar.
Men teri ghazal to nahi hoon na jo har aik lab pey saja rahoon,
Men to aik misra-e-dard hoon, mujhy gun'gunany ki zid na kar.
Abhi lout ja, abhi waqt hai, abhi jaan baaki hai jism main,
Tujhy ilm hai men kuch nahi, mujhy aazmany ki zid na kar.

Suno koi raasta batana,
Mohabbat sey wapsi chahiye.

Bhool jana bhi aik nemat hai Khuda ki,
Warna insan ko pagal bana dein yaadain.

Sitary kuch bataty hain, nateeja kuch nikalta hai,
Barri hairat main hai mera muqaddar daikhny wala.

Aey tabeeb, ab to kar dey dawa-e-dard-e-dil,
Agli baar touba, ham Mohabbat na karain gey.

Na Mohabbat na dosti, hamain kuch raas nahi,
Sab badal jaaty hain hamary dil main jagah banany k baad.

Lagta hai jaisy tang hain loag mery wajood sey,
Aey zindagi tujh ko bhi ijaazat hai chorr jaa.

Zindagi main bicharr gaye agar ittefaaq sey,
Hamain daikh k nazrain na chura laina.
Kahin daikha hai tumhen shayad,
Khawah yehi keh k hath mila laina.

Hamain khabar hai lutairon k sab thikanon ki,
Shareek-e-jurm na hoty to mukhbari karty.

Us k dil pey bhi kya khoob guzri ho gi,
Jis ney ik marz ka naam Mohabbat rakha.

Naya hai shehar, naye raasty tlaash karoon.
Tu kho gaya hai, kahan ab tujhy tlaash karoon?
Tu ashk hai to kabhi meri chashm-e-tar main utar,
Tery liye men kahan aayee'ny tlaash karoon?
Tujhy hawaas ki awargi ka ilm kahan,
Kabhi men tujh ko hi tery saamny tlaash karoon.
Ghazal kahoon kabhi saada sey sey khat likhoon us ko,
Udaas dil k liye mashghaly tlaash karoon.
Mery wajood sey shayad mily souraag tera,
Men khud ko bhi to tery waasty tlaash karron.
Men chup rahoon, kabhi be'waja hans doon "Mohsin",
Usy ganwa k ajab hously tlaash karoon.

Phir kya hua, ye raah ki dushwaariyon sey pooch,
Bas itna yaad hai teri jaanib chala tha men.

Aey Maa phir sey mujhy mera basta dey dey,
K duniya ka diya sabak mushkil bohat hai.

Bohat din ho gaye, shayad kinara kar liya us ney.
Hamary baad bhi aakhir guzara kar liya us ney.
Hamara zikar to us k labon pey aa nahi sakta,
Hamain ehsaas hai ham sey kinara kar liya us ney.
Wo basti ghair ki basti, wo koocha ghair ka koocha,
Suna hai Ishq bhi ab to dobara kar liya us ney.
Suna hai ghair ki baahon ko wo apna samajhta hai,
Ye lagta hai mery dukh ko ganwara kar liya us ney.
Bhula kar Pyar ki qasmain wo waady torr kar "Waris",
Kisi ko zindagi sey bhi pyara kar liya us ney.

Sehan-e-ghurbat main sada dair sey na aaya kar,
Kharch tadfeen ka lag jata hai beemari par.

Khamosh reh, tanha baith, ro or yaad kar us ko,
Tu ney ishq kiya hai, gunaah chota nahi hai tera.

Kaghaz pey nahi likhty kuch raaz Mohabbat k.
Pal bhar main bikhar jaaty hain ilfaaz Mohabbat k.
Usy toot k chaaha to ham khud hi bikhar gaye,
Aisy bhi badalty hain andaaz Mohabbat k.
Qaasid sey zara kehna unhain saath hi ley aaye,
Mujhy phir sey sajany hain kuch khawab Mohabbat k.
Apni to raza usi zaat main thi shamil,
Kion baithy huey chorr gaye kuch haath Mohabbat k.

Harf-e-tasalli to ik takalluf hai,
Jis ka dard, usi ka dard, baaki sab tamashaai.

Mayoos ho gaya hoon men zindagi k is safar sey,
Maqsad ki Mohabbat or matlab ki dostiyan.

Dil ki aawargi nahi jaati,
Aqal ki rok thaam jaari hai.

Tha kabhi laazmi nisaab-e-wafa,
Ab ye mazmoon ikhteyari hai.

Kaafirana mizaaj hai tera,
Aey Ishq, tu kabhi bakhsha nahi jaaye ga.

Udaas logo hajoom laao, Husn waalon ko maar daalain,
Koi to naiki ka kaam kar lain, tabah to waisy bhi ho gaye hain.

Men sochta hoon ho jo mujhy izn-e-zeyarat,
Laaon ga kahan sey tery mayaar ki aankhain.

Meri awargi logo, nahi be'jaa qasam ley lo,
Agar tum daikhty us ko, to mery ham'qadam hoty.

Pehly sa wo junoon-e-Mohabbat nahi raha,
Kuch kuch sanbhal gaye hain tumhari dua sey ham.

Gham bhi hain juzw-e-zindagi laikin zindagi ashk or aah nahi,
Koi samjhy to ik baat kahoon, Ishq toufeeq hai, gunaah nahi.

Us ki tawajju tery naseeb main likhi hi nahi hai "Wasi",
Chorr dey usy yaad karna, khud ko bad'naseeb keh kar.

Men shab-o-roz ka haasil usy loutaa doon ga,
Waqt agar mery khilony mujhy wapis kar dey.

Agar chorrna bhi chaaho to mumkin jawaaz rakhna,
Ham be'wajah sazaayen bohat kaat chuky hain.

Dil bhi ik zid pey arraa hai kisi bachy ki tarha,
Ya to sirf wohi chaahiye, ya kuch bhi nahi.

Muntazir they ham teri inayat k,
Chalo kuch to kiya, tabaah hi sahi.

Ab teri aankh main aansu kis liye "Mohsin"?
Jab chorr hi diya tha, to bhula bhi diya hota.

Qafs-e-hijar main saansain to chal rahi hain,
Zindagi kahan hai, dhoond raha hoon men.

Aaj ham ney bhi hans kar,
Jeeny waalon ki naqal utaari hai.

 
 
 
 
 

Today's Visitors

Total Visitors

Today's Page Views

Total Page Views

 
This is a free homepage created with page4. Get your own on www.page4.com
 
Urdu Poetry 0