World's Ever Best Urdu Poetry

Special Offer
To receive the World's Ever Great Messages Collection on your Mobile;

Volume 1


Wo khatam qaid ki mayaad bhi nahi karta.
Or men zehmat-e-faryad bhi nahi karta.
Kabhi kabhi wo mujhy itna yaad aata hai,
K men zid main aa k usy yaad bhi nahi karta.

Tery husn ko pardy ki zaroorat hi kya hai "Mohsin"
Kon hosh main rehta hai tujhy daikhny k baad?

Rooh be-chain, dil udaas bohat hai.
Bujh gayee hai shama-e-umeed or aas bohat hai.
Ye dard-e-judai, ye hijar k lamhy,
Ye fikar ka  mousam mujhy raas bohat hai.
Sumandar k kinaary baitha hoon magar phir bhi,
Sookhy hain mery hont or pyas bohat hai.
Diya jab gham to kuch na socha us ney,
Ujarr gaye ham to usy ehsaas bohat  hai.

Aik nafrat hi nahi duniya main dard ka sabab "Fraz"
Muhabbat bhi sakoon walon ko barri takleef daiti hai.

Khamosh lehjy mery ham-dam kabhi bola nahi karty.
Yoon dard-o-gham kisi k saamny khola nahi karty.
Muhabbat to muhabbat hai, barri anmol hoti hai,
Muhabbat ko tarazo main kabhi toula nahi karty.
Mery khamosh rehny par koi ilzaam mat daina,
Sumandar to sumandar hain, kabhi bola nahi karty.

Mery hont mat seeh, mujhy izhaar ka mouqa dey dey.
Ishq jurm hai to iqrar ka mouqa dey dey.
Ankhon hi ankhon main keh loon ga jo kehna hai mujhy,
Ik pal k liye deedar ka mouqa dey dey.
Kar ley tasleem meri khamosh muhabbat,
Ya sar-e-aam mujhy pyar ka mouqa dey dey.
Khatam kar dey dar-o-deevar ki har pabandi,
Ya tawaf-e-dar-o-deevar ka mouqa dey dey.
Jeet  jana mera  shayad tujhy bardasht na ho,
Khail aisy k mujhy haar ka mouqa dey dey.

Aaj kal k phoolon sey to kanty hi achy hain "Wasi"
Jo khushbu nahi daity magar daman to pakarr laity hain.

Qabron main nahi, ham ko kitabon main utaro,
Ham loag muhabbat ki kahani main mary hain.

Thaky haary prindon ko daikha to khayal aaya "Fraz"
Koi muntazir hota to ham bhi kab k lout gaye hoty.

Mujh sey gily hain, mujh pey bharosa nahi usy.
Yehi soch kar to ham ney bhi roka nahi usy.
Wo shaks kabhi chand sitaron sey ye poochy,
Hai kon si wo raat jab socha nahi usy.
Alfaz teer ban k utarty rahy dil main,
Sunty rahy chup chap hi roka nahi usy.
"Sagar" ye Muhabbat nahi, usool-e-wafa hai,
Ham jaan to dain gey, magar dhoka nahi usy.

Hawa jab zard patton ko juda shakhon sey karti hai,
Hamen tum sey bicharr jana bohat hi yaad aata hai.

Sab loag jidhar wo hain udhar daikh rahy hain.
Ham daikhny walon ki nazar daikh rahy hain.
Wo daikh rahy hain dil-e-bismil ka tarrapna,
Ham ghor sey qatil k hunar daikh rahy hain.

Tu ney kaha na tha k men kashti par boajh hoon,
Ab aankhen band na kar mujhy doobta bhi daikh.

Suna ho ga kisi sey dard ki ik had bhi hoti hai,
Milo ham sey k ham us had k aksar paar jaaty hain.

Tu ney andaz-e-aseeri daikha hai, andaz-e-wafa nahi shayad,
Pinjra khol bhi dain to kuch panchi jaya nahi karty.

Ham neend k shouqeen itny to nahi laikin,
Kuch khawab na daikhain to guzara nahi hota.

Dil-o-nazar sey kuch dair bhi juda rakhoon.
Ye mery bas main nahi k tujhy khafa rakhoon.
Nahi kuch bhi mery zehan main siwa is k,
Men teri yaad bhula doon, to yaad kya rakhoon?

Jany kion shikast ka azaab liye phirta hoon?
Main kya hoon, or kya khawab liye phirta hoon.
Us ney aik baar kiya tha sawal-e-muhabbat,
Main har lamha wafa ka jawab liye phirta hoon.
Us ney poocha tha kab sey nahi soye ho tum?
Men tab sey har raat jaagny ka hisaab liye phirta hoon.
Uski khawahish thi k meri ankhon main ansu daikhy,
Men us waqt sey ansuwon ka sailab liye phirta hoon.
Afsos k wo phir bhi mera na hua "Fraz"
Men jiski aarzu ki kitaab liye phirta hoon.

Kitna khouf hota hai shaam k andhairon main "Fraz"
Pooch un prindon sey jin k ghar nahi hoty.

Mujhy chand teri talab nahi,
Teri roshni barri door hai,
Mujhy jis chiragh sey pyar tha,
Mera ghar usi ney jala diya.

Mery ham-sukhan ka ye hukam tha k na karoon zayada kalam un sey,
Phir mery hont aisy sily k meri chup ney usy rula diya.

Kuch andhaira bhi zaroori hai gham-e-yaar k sath.
Ab diya koi na rakhy meri deevar k sath.
Men jo ik umar musafir raha tab jana,
Raah bhi chalti rahi hai meri raftaar k saath.
Ham to Yousaf bhi nahi bazar-e-sukhan main "Mohsin"
Yoonhi chal parrty hain har ik khareedar k sath.

Baton baton main bicharrny ka ishara kar k.
Khud bhi roya bohat wo ham sey kinara kar k.
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khaloos,
Phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara kar k.
Jagmaga di hain tery shehar ki galiyan men ney,
Apny har ashk ko palkon pey sitara kar k.
Daikh laity hain chalo housla apny dil ka,
Or kuch roz tery baghair  guzara kar k.
Aik hi shehar main rehna hai magar milna bhi nahi,
Daikhty hain ye azayyat bhi gawara kar k.

Gham k sanjok achy lagty hain.
Ab mustaqil roag achy lagty hain.
Us sey kehna k koi ehd-e-wafa na kary,
Mujhy ab be-wafa loag achy lagty hain.

Kabhi aabad karta tha, kabhi barbaad karta tha.
Sitam har roz wo ik naya ijaad karta tha.
Zamana ho gaya laikin khabar lainy nahi aaya,
Jo panchi roz mery naam par aazad karta tha.

Tabeeb milty hain par dawa nahi milti.
Dawa jo mily to shifa nahi milti.
Men saari duniya dhoond aaya "Fraz"
Loag to milty hain par wafa nahi milti.

Kaam kaaj or mizaaj kaisa hai?
Kal to kal tha, batao aaj kaisa hai?
Hamary shehar main to hain muhabbat k dushman,
Tumhary shehar main batao riwaaj kaisa hai?
Uski aawaz sun loon to milta hai sakoon-e-dil,
Mery gham ka daikho ilaaj kaisa hai.
Uski meethi baatain bhool sakta nahi kabhi,
"Mohsin" teri aawaz ka mohtaaj kaisa hai.

Sumandar main fana hona to qisma ki kahani hai,
Jo marty hain kinaron par,mujhy dukh un par hota hai.

Raat barri mushkil sey sulaya men ney khud ko,
In ankhon ko tery khawab ka lalach dey kar.

Kaash wo subha neend sey jaagy to mujh sey larrny aay "Ghalib"
K tum kon hoty ho mery khawabon main aany waly.

Mujhy apny kirdar par itna to yaqeen hai,
Koi mujhy chorr to sakta hai magar bhula nahi sakta.

Juda hony ka andesha, juda hony sey pehly tha.
Wo mujh sey intehai khush, khafa hony sey pehly tha.
Junoo'n ka dour guzra to mujhy bhi bhool baitha wo,
Namaz-e-ishq tha laikin qaza hony sey pehly tha.
Men kaisy soch sakta tha, mujhy wo chorr jaay ga,
Bohat hi baa-wafa wo be-wafa hony sey pehly tha.

Sookhy honton pey hi hoti hain meethi baatain "Mohsin"
Pyas bujh jaay to lehjy badal jaaty hain aksar.

Mery marny par kisi ko koi zayada farq na parry ga,
Bas ik tanhai hi roye gi k mera hamsafar chala gaya.

Meri har nazar teri muntazir,
Teri har nazar kisi or ki.
Meri zindagi, teri bandagi,
Teri zindagi kisi or ki.
Kabhi waqt jo mily tujhy,
Zara aa k daikh mery saajna,
Meri subha-o-sham tery liye,
Teri har sehar kisi or ki.
Mera shair har tery naam hai,
Meri har ghazal tery liye,
Tera aik lafz na mila mujhy,
Teri har satar kisi or ki.

Ab bhala chorr k ghar kya karty?
Sham k waqt safar kya karty?
Teri masroofiyaten jaanty they,
Apny aany ki khabar kya karty?
Jab sitary hi nahi mil paay,
Ley k shams-o-qamar kya karty?
Wo musafir hi khuli dhoop ka tha,
Phaila k saay,shajar kya karty?
Raay pehly sey hi bana li tu ney,
Dil main ham tery ghar kya karty?
Ishq ney sary saleeky bakhsy,
Husn sey kas-e-hunar kya karty?

Un k andaz-e-karam, un pey aana dil ka.
Haay wo waqt, wo batain, wo zamana dil ka.
Na suna us ney tawajju sey fasaan dil ka.
Umar guzri par dard na jana dil ka.
Dil lagi dil ki lagi ban k mita daiti hai,
Roag dushman ko bhi Ya Rab na lagana dil ka.
Wo bhi apny na huwey, dil bhi gaya hathon sey,
Aisy aany sey to behtar hai na aana dil ka.
Unki mehfil main "Fraz" un k tabassum ki kasam,
Ham daikhty reh gaye hath sey jana dil ka.

Teri aankhon k isharon ki bohat yaad aayi.
Aaj pat jharr main baharon ki bohat yaad aayi.
Jab Jab larr'kharraya men nikal kar meh-khany sey,
Teri bahon k saharon ki bohat yaad aayi.
Jab bhi ponchay hain ansu men ney hathon sey,
Tery daman k kinaron ki bohat yaad aayi.

Izhaar-e-muhabbat pey saza daiti hai duniya.
Moon morr k guzro to sadaa daiti hai duniya.
Duniya sey kabhi bhool kar bhi tum pyar na karna,
Pardy main muhabbat k dagha daiti hai duniya.
Matlab nahi hota to tawajju nahi daiti,
Matlab ho to palkon pey utha laiti hai duniya.
*
Aisy bhi muhabbat ki saza daiti hai duniya.
Mar jaayen to jeeny ki dua daiti hai duniya.
Ham kon sey momin they jo ilzam na sehty,
Pathar ko bhagwan bana daiti hai duniya.
Ye zakhm muhabbat ka hai dikhana na kisi ko,
Laa kar sar-e-bazar,saja daiti hai duniya.
Qismat par karo naaz na itna bhi faqeero,
Hathon ki lakeeron ko mita daiti hai duniya.
Marny k liye karti hai majboor to laikin,
Jeeny k tareeqy bhi sikha daiti hai duniya.

Dhalny lagi thi raat k tum yaad aa gaye,
Phir us k baad raat barri dair tak rahi.

Chalo "Mohsin" muhabbat ki nayee bunyaad rakhty hain.
K khud paa'band rehty hain, usy aazad rakhty hain.
Muhabbat main kahin ham sey, koi gustaakhi na ho jaay,
Ham apna har qadam us k qadam k baad rakhty hain.
Hamary khoon main Rab ney yehi taaseer rakhi hai,
Burai bhool jaaty hain, achai yaad rakhty hain.

Bikharti rait par kis naqsh ko aabad rakhy ga?
Wo mujh ko yaad rakhy bhi to kitna yaad rakhy ga?
Usy bunyaad rakhni hai abhi dil main muhabbat ki,
Magar ye sang seeny par wo mery baad rakhy ga.
Palat kar bhi nahi daikhi teri ye be-rukhi ham ney,
Bhula dain gey tujhy aisa k tu bhi yaad rakhy ga.

Muddat sey yehi jaan-e-ada soch raha hoon.
Tum kaisy huey mujh sey juda soch raha hoon.
Shikwa nahi tum sey na koi khud sey gila hai,
Ulfat main hui kis sey khata soch raha hoon.
Murr k nahi daikha tha alag baat hai laikin,
Jaaty huey aayee jo sada soch raha hoon.
Ab tery siwa Rab sey duaon main kya maangon?
Ab haath uthaay to dua soch raha hoon.
Jis ney kabhi duniya main sach bol diya hai,
Kion loag huey us sey khafa soch raha hoon.

Khushbu ki tarha meri har saans main,
Pyar apna basany ka waada karo.
Rang jitny tumhari muhabbat k hain,
Mery dil main sajany ka waada karo.
Hai tumhari wafaon pey mujh ko yaqeen,
Phir bhi dil chahta hai mery dil-nasheen,
Yoonhi meri tasalli ki khatir zara,
Mujhko apna banany ka wada karo.
Sirf lafzon sey iqrar hota nahi,
Aik janib sey hi pyar hota nahi,
Men tumhen yaad rakhny ki khaaon kasam,
Tum mujhy na bhulany ka wada karo.

Khatam ho ga zindagi ka ye safar daikh laina.
Tanha chaly jaayen gey ham daikh laina.
Zindagi main nahi koi muqaam apna,
Baad marny k ho gi qadar daikh laina.
Mujhy abhi to koi kali bhi nahi daita,
Par phoolon sey mehky gi,qabar daikh laina.
Tanha hi zindagi main chal raha hoon,
Janazy main ho ga sara shehar daikh laina.

Men titliyon ko sula doon ga zara tum sham hony do.
Men jugnuwon ko jaga doon ga zara tum sham hony do.
Men rootha pyar mana loon ga zara tum sham hony do.
Meri ankhon ko na daikho tum haqarat sey,
Men tumko rula doon ga zara tum sham hony do.
Kahan aaghaz hota hai,kahan anjaam hota hai,
Hunar saary sikha doon ga zara tum shaam hony do.
Mera ye yaqeen hai k andhera tumko choo nahi sakta,
Men apna ghar jalan doon ga zara tum sham hony do.
Jo tum ney mujh sey poocha hai kahan ho gi tumhari sham,
Jahan ho gi bata doon ga zara tum sham hony do.

Usy yaqeen nahi k men jaan dey paaon ga "Fraz"
Mujhy ye khouf, bohat roye ga aazma k mujhy.

Bas yehi soch kar uski har baat par yaqeen kar liya,
Itny haseen honton sey wo jhoot kaisy bolta ho ga?

Bas main hota agar sooraj chand ka nizam,
Teri rahon main kabhi dhoop na aany daita.

Sham khafa hai or raat bhi nahi hoti.
Sily hain hont koi baat bhi nahi hoti.
Men uski zaat ka hissa ban nahi sakta,
Juda us sey magar meri zaat bhi nahi hoti.

Udas mousam main muskurana Na Tery Bas Main Na Mery Bas Main.
Judai ko roag ko chupana Na Tery Bas Main Na Mery Bas Main.
Wo fasl-e-gul ab to jal chuki hai,chita muhabbat ki jal chuki hai,
Wafa ki mayyat ko ab uthana Na Tery Bas Main Na Mery Bas Main.
Wo pyar k pal,wo chand raatain,wo phool jaisi baatain,
Haseen yaahon ko bhool jana Na Tery Bas Main Na Mery Bas Main.
Zamany sey phir koi gila hi kion ho? koi kisi sey khafa hi kion ho?
K mery "DOST" ye zamana Na Tery Bas Main Na Mery Bas Main.

Kabhi to lout kar aao,
Mujhy bas itna samjhao,
Kahan sey seekh li tum ney,
Adaa mujhko bhulany ki?
Tumhen mujh sey koi shikwa tha,
Ya mujh sey koi shikayat thi,
Zehmat to zara si thi,
Na koshish ki batany ki,
Bhala yoon chorr kar apna,
Koi apnon ko jata hai?
Musalsal dukh ki barish main,
Jeewan bhar rulata hai?
Abhi bhi rait geeli hai,
Abhi bhi naqsh baaqi hain,
Gaye qadmon pey lout aao,
Mujhy bas itna samjhao,
Kahan sey seekh li tum ney,
Adaa mujhko bhulany ki?

Wo roz daikhta hai doobty huey sooraj ko "Fraz"
Kaash men bhi kisi shaam ka manzar hota.

Dhal gaya chand, gayee raat chalo so jaayen.
Yaadon sey ho chuki mulaaqat chalo so jaayen.
Door tak goonj bhi nahi hai kisi shehnaai ki,
Lut gayee aas ki barsaat chalo so jaayen.
Loag iqrar-e-wafa kar k bhool jaaty hain,
ye nahi koi nayee baat chalo so jaayen.
Jaagty rehny sey bhi bhala kab rukty hain girty ansu?
Umar bhar ho gi ye barsaat chalo so jaayen.

Tehreer main kahan samaty hain dilon k dard "Fraz"
Behla rahy hain khud ko in kaaghzon k saath.

Torr diye hain men ney ghar k sabhi aayeeny "Wasi"
Muhabbat main haary huey loag mujhy achy nahi lagty.

Bharoosa toot jaany sey zara pehly bata daina.
Mujhy tum aazmany sey zara pehly bata daina.
Kisi heely bahany sey zara pehly bata daina.
K mujhko tum bhulaany sey zara pehly bata daina.
Zehan ki rait pey tum ney muhabbat sey likhi thi jo,
Wo tehreerain mitaany sey zara pehly bata daina.
Mery dilber, k is dil par men rakh loon zabt ka pathar,
Sunu, daman churaany sey zara pehly bata daina.
Kisi bhi morr par ham-dam bura paao agar mujhko,
Zamany k batany sey zara pehly bata daina.

Hamari zindagi ko adhora kar diya hai,
Muhabbat, tu ney apna kaam poora kar diya hai.

 
 
 
 
 

Today's Visitors

Total Visitors

Today's Page Views

Total Page Views

 
This is a free homepage created with page4. Get your own on www.page4.com
 
Urdu Poetry 0