MP3 Sad Urdu Poetry MP3 Urdu Poetry FM Urdu Poetry Best than better MP3 Urdu Poetry Download Urdu Poetry MP3 Free Download FM Recording Urdu Poetry Broken Heart Sad Urdu Poetry MP3 Audio Poetry Free Download FM Night Ghazal Programe FM Shehar-e-Ghazal 96, 105, 101, 102, 90, 91, 92, 93, 94, 95, 96, 97, 98, 99, 100, 101, 102, 103, 104, 105 FM Ghazal Programe Sahiwal, Faisalabad, Karachi, Okarra, Chiniot, Sargodha, Rawalpindi, Islamabad, Lahore, RJ, DJ, VJ, Muhammad, Ahmad, Ahmed, Ali, Hussain, Saaqi, Tabish, Mohsin Ali Naqvi, Fraz Ahmad Fraz, Wasi Shah, Jaan, Jana, Dost, Raqeeb
MP3 Poetry (With Lyrics)
Aankhain
Meri aankhain khareedo gey?
Bohat majboor haalat main,
Mujhy neelam karni hain.
Koi mujh sey naqad ley ley,
Men thorry daam ley loon ga.
Jo dey dey pehli boli,
Bas usi k naam kar doon ga.
Mujhy bazaar waaly keh rahy hain kam'aqal taajir,
Aey suno logo Men nahi hoon hirs ka khawahan,
Nafa nuqsaan ki shatranj,
Nahi men khailny aaya.
Koi mujh ko kahy na man'chala sa be'hunar taajir.
Bata paaon tumhen kaisy k kis tashveesh main hoon men?
Suno logo Barri mehboob hain mujh ko ye meri neem'tar aankhain.
Magar ab baicht hoon,
Inhen neelam karna hai.
***
Suno logo, meri aankhain khareedo gey?
Mujhy ik khawab ka taawaan bharna hai.
Ik aisa khawab jo jaagti aankhon sey daikha tha,
Bohat hi chaao sey or kitny armaanon sey daikha tha,
Magar daikhy huey is khawab ki taabeer ulti thi,
Nahi shikwa kisi sey, apni hi taqdeer ulti thi,
Jo ab tak ho chuka hai mujh ko wo nuqsaan bharna hai.
Ab aankhain baich kar hi khawab ka taawaan bharna hai.
***
Kya andhairon k dukh, kya ujaalon k dukh.
Jab hara dain muqaddar k chhaalon k dukh.
Jin ki aankhain nahi, wo na royen kabhi,
Jaan jaayen agar aankh waalon k dukh.
Meri manzil kahan? Ham'safar hai kidhar?
Maar daalain gey ab in sawalon k dukh.
Tum mily ho, tumhari Mohabbat nahi,
Hijar sey barrh gaye hain wisaalon k dukh.
Do gharri k liye paas baith jaaty agar,
Bhool jaaty ham kitny hi saalon k dukh.
Meri sochon k jalty huey dasht sey,
Chheen ley aa k apny khayalon k dukh.
Agar Mohabbat Yehi Hai Jaana
Jab baiti choukhat paar kary,
Or Izzat ka beopaar kary,
Jab baap ki izzat kho jaaye,
Jab qoum ki ghairat so jaaye,
Jab bhai ko taany milty hon,
Or behnon k dil jalty hon,
Jab Maaon ki nazrain jhuk jaayen,
Or saansain labon pey ruk jaayen,
Jab sharm-o-haya ka aamaiza,
Jab ik kanwari dosheza,
Jab be'sharmi ko apna ley,
Jab khud ko zillat main dhaaly,
Jab ghair k seeny lag jaaye,
Or apna aap ganwa aaye,
To aisi haalat ko logo,
Ham log Mohabbat kehty hain.
*
Haya ko tan sey utaar daina.
Kisi ko baahon k haar daina.
Phir us k jazbon ko maar daina.
Agar Mohabbat yehi hai jaana,
To muaaf karna, mujhy nahi hai.
Gunaah karny ka soch laina.
Haseen pariyan, daboch laina.
Phir uski aankhain hi noch laina.
Agar Mohabbat yehi hai jaana,
To muaaf karna, mujhy nahi hai.
Kisi ko lafzon k jaal daina.
Kisi ko jazbon ki dhaal daina.
Phir uski izzat uchaal daina.
Agar Mohabbat yehi hai jaana,
To muaaf karna, mujhy nahi hai.
Andhair nagri main chalty jana.
Haseen kaliyan masalty jana.
Or aisi harkat pey muskurana.
Agar Mohabbat yehi hai jaana,
To muaaf karna, mujhy nahi hai.
Aisy Bhi Mohabbat Ki
Izhaar-e-muhabbat pey saza daiti hai duniya.
Moon morr k guzro to sadaa daiti hai duniya.
Duniya sey kabhi bhool kar bhi tum pyar na karna,
Pardy main muhabbat k dagha daiti hai duniya.
Matlab nahi hota to tawajju nahi daiti,
Matlab ho to palkon pey utha laiti hai duniya.
*
Aisy bhi muhabbat ki saza daiti hai duniya.
Mar jaayen to jeeny ki dua daiti hai duniya.
Ham kon sey momin they jo ilzam na sehty,
Pathar ko bhagwan bana daiti hai duniya.
Ye zakhm muhabbat ka hai dikhana na kisi ko,
Laa kar sar-e-bazar,saja daiti hai duniya.
Qismat par karo naaz na itna bhi faqeero,
Hathon ki lakeeron ko mita daiti hai duniya.
Marny k liye karti hai majboor to laikin,
Jeeny k tareeqy bhi sikha daiti hai duniya.
Aisy Toota Hai Tamannaon Ka
Aisy toota hai tamannaon ka Pindaar k bas.
Dil ney jhaily hain Muhabbat main wo Auzaar k bas
Ik jhonky sey zamany mery hathon sey gaye,
Is qadar taiz hui waqt ki Raftaar k bas.
Tu kabhi rakh k hamain daikh to baazaar k beech,
Is tarha toot k aayen gey Kharidaar k bas.
Kal bhi sadiyon ki musaafat sey pary they dono,
Darmayan aaj bhi parrti hai wo Deewar k bas.
Ye to ik zid hai k "Mohsin" men shikayat na karoon,
Warna shikwy to hain itny mery Yaar k bas.
Ajab Haalat They Mery
Ajab Halat they mery Ajab din raat they mery
mager mein mutmaen tha is liye tum sath they mery
mery zar key talabgaroun kii nazrein aisey uthti thein
key lakhoun unglian theen aur hazaroun hath they mery
main ik pather ka gard alud buttt tha inn key mander mein
na dil tha na mery seeney mein na kuch jazbat they mery
kisi sey aur kia taeed ki umeed mein rakhta
wohii khamosh they jo mehram-e-halat they merey
mein jin sholoun mein jalta tha shaed tum bhi nahee samjey
mera dil mukhtalif the, mukhtalif sadmat they mery
mujhe mujram bana ker rakh diya jhutey gawahoun ney
sabhii rad ho gaye jitney bhii ilzamat they merey
tasawar ban giya tasveer akhir aik din sajid
isi ka khauf tha muj ko yahee khadshat they mery
Ajeeb Hain Raasty Mery
Ajeeb hain raasty mery, k chalna bhi nahi mumkin.
Zara thokar jo lag jaay, sanbhalna bhi nahi mumkin.
Tera chehra meri nazron main dhundla sa na ho jaay,
K ab bheegi hui palkon ko malna bhi nahi mumkin.
Mily hain baad muddat k, balaa k sard hain lehjy,
K jalna bhi nahi mumkin, Pighalna bhi nahi mumkin.
Taulluq toot jaany sey umeedain toot jaati hain,
Dilon main hasratain ley kar behalna bhi nahi mumkin.
Bohat naakaamiyan ley kar hua hoon kahan ka me qaidi,
Chalo ab aaj sey ghar sey mikalna bhi nahi mumkin.
Usy itna na socha kar, Teri aadat na parr jaay,
Phir aisi aadatain "Mohsin", badalna bhi nahi mumkin.
Apny Dil Sey Itna To Poocho
Apne dil se itna to poocho
Ik baar nahi baar baar poocho
Dard Judai ka kaise seh pao gi
Kya is pyar ko bhool tum jao gi
Itna chahne wala kaha se aaye ga
Jo tumhe apni rooh mei samayega
Ye tum bhi janti ho aur mein bhi
Mushkilon se Rab Nikaal lejayega
Ik Mauqa to do apne pyar ko
Jo gaya to phir wapas na aayega
Himmat se kaam lo, mera haath thaam lo
Aankhein band karke mera, ik baar naam lo
Mein abhi mara kahan hun
Jo tum chode ja rahe ho
Itna bura to hun nahi mein
Muh Mode ja rahe ho
Ik mauqa to dil se zara khud ko dedo
Ik haan karo aur mujhe khud ko dedo
Bhala tum pyar se itna darti kyun ho
Jo chahti nahi ho karna, wo karti kyun ho
Kya yehi mere pyar ne hei sikhaya tujhko
Jab waqt aajaye nibhane ka, **** jana mujhko
Tum janti ho ke sache dil se
Humne pyar ek duje ko kiya hai
Har lamha ek dujhe ki yadon mein
Humne mar mar ke aise jiya hei
Ke kabhi mein roothoon to tum manao
Mujhe yunhi bahane bahane se
Ye Dunya haseen ho jayegi
Hum dono ke yu mil jane se
Meine muaf kya tune jo bhi kya
Tum bhi pyar se zara kaam lo
Apni zindagi se aise mat khelo
Ye pyar bhara dil thaam lo
Tum kehti ho tumhe dard bhi hai
Mujhse mil nahi paane ka
To Phir khudh se poocho kya dar nahi
Mujhse itna door tumhe jane ka
Meri zindagi ke har mod pe
Tera hi likha hua naam hai
Tere naam se shuru din hei hota
Khatam meri hoti har shaam hei
Phir soch lo issi gham mein tum
Kya khud ko muaf kar pao gi
Mein janta hun mere alawa tum
Kisi aur ko paas nahi lao gi
Mein intezaar karunga kuch aur din
Phir wapas kabhi nahi aaonga
Tumne himmat haar ke acha na kiya
Sada yehi mein kehta jaonga...!!!!
Bach'Pan
Chalo phir dhoond laayen ham,
Usi maasoom bach'pan ko.
Unhi maasoom khushiyon ko,
Unhi rangeen lamhon ko,
Jahan gham ka pata na tha,
Jahan dukh ki samajh na thi,
Jahan bas muskurahat thi,
Baharain hi baharain theen,
K jab saawan barasta tha,
To us kaaghaz ki kashti ko,
Banana or dubaa daina,
Bohat acha sa lagta tha.
Or is duniya ka har chehra,
Bohat sacha sa lagta tha.
Chalo phir dhoond laayen ham,
Usi maasoom bach'pan ko.
***
Jaisy hain nazar aaty,
Aey waqt gawahi dey,
Ham loag na they aisy.
Ye shehar na tha aisa,
Ye roag na they aisy.
Deewar na they rasty,
Zandaan na thi basti,
Aazaar na they rishty,
Khiljaan na thi basti.
Yoon mout na thi sasti.
Ye aaj jo soorat hai,
Haalaat na they aisy.
Yoon ghair na they mousam,
Din raat na they aisy.
Tafreek na thi aisi,
Sanjog na they aisy.
Aey waqt gawahi dey,
Ham loag na they aisy.
***
Umeed abhi kuch baaqi hai,
Ik basti basny waali hai,
Jis basti main koi zulm na ho,
Or jeena koi jurm na ho,
Wahan phool khushi k khilty hon,
Or mousam saary milty hon.
Bas rang or noor barasty hon,
Or saary hansty basty hon.
Umeed hai aisi basti ki,
Jahan jhoot ka karoo-baar na ho,
Dehshat ka baazaar na ho,
Jeena bhi dushwaar na ho,
Marna bhi aazaar na ho,
Wahan khoon ki holi aam no ho,
Us aangan main gham ki shaam na ho,
Jahan munsif sey insaaf mily,
Dil sab ka sab sey saaf mily,
Ik aas hai aisi basti ho,
Jahan roti zehar sey sasti ho.
Bahar Rut Main Ujarr Rasty
Bahaar rut main, ujaarr rasty,
Taka karo gey, to ro parro gey.
Kisi ko milny ko jab bhi "Zahid",
Saja karo gey, to ro parro gey.
Tumhary wadon ney yaar mujh ko,
Tabah kiya hai kuch is tarha sey,
K zindagi main jo phir kisi sey,
Dagha karo gey, to ro parro gey.
Men jaanta hoon meri Mohabbat,
Ujaarr dey gi tumhen bhi aisy,
K chaand raaton main ab kisi sey,
Mila karo gey, to ro parro gey.
Barasti barish main yaad rakhna,
Tumhen sataayen gi meri aankhain,
Kisi k liye kisi jagah par jab,
Dua karo gey, to ro parro gey.
Be'Khuwab Lamhon Ka
Be'khawab lamhon ka Paristaar kon tha?
Itni udaas raat main Be-daar kon tha?
Kis ko thi ye fikar k Muhabbat main kya hua?
Ham is pey larr rahy hain k Wafa'daar kon tha?
Sou kashtiyan jala k chaly saahilon sey ham,
Ab tum ko kya bataayen k us Paar kon tha?
Ye faisla to shayad waqt bhi na kar saky,
Sach kon bolta tha? Adaa'kaar kon tha?
Zamany guzar gaye ye sochty huey,
Men kis ko kahoon apna? Mera Gham'khawar kon tha?
Bohat Din Ho Gaye Shayad
Bohat din ho gaye, shayad kinara kar liya us ney.
Hamary baad bhi aakhir guzara kar liya us ney.
Hamara zikar to us k labon pey aa nahi sakta,
Hamain ehsaas hai ham sey kinara kar liya us ney.
Wo basti ghair ki basti, wo koocha ghair ka koocha,
Suna hai Ishq bhi ab to dobara kar liya us ney.
Suna hai ghair ki baahon ko wo apna samajhta hai,
Ye lagta hai mery dukh ko ganwara kar liya us ney.
Bhula kar Pyar ki qasmain wo waady torr kar "Waris",
Kisi ko zindagi sey bhi pyara kar liya us ney.
Chal Insha Apny Gaaon Main
Yahan uljhy uljhy roop bohat.
par asli kam, beh-roop bohat.
Us pairr k neechy kya rukna,
Jahan saya kam ho, dhoop ho bohat.
Chal "Insha" apny gaaon main.
Baithain gey sukh ki chaaon main.
Kion teri aankh sawali hai?
Yahan har ik baat niraali hai.
Is dais basaira mat karna,
Yahan muflis hona gaali hai.
Chal "Insha" apny gaaon main.
Jahan sachy rishty yaariyon k.
Jahan ghoongat,zewar naariyon k.
Jahan jharny komal sur waly,
Jahan saaz bajy bin taaron k.
Chal "Insha" apny gaaon main.
*
Koi ehsas bhi usko yaad nahi.
Koi baat bhi usko yaad nahi.
Ik shakhs ney usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahi.
Jab shab ki bijli chamki thi,
Or baadal toot k barsa tha,
Ham donon jis main bheegy they,
Wo barsaat bhi usko yaad nahi.
Wo sahil, darya, phool, hawa,
Wo wada saath nibhany ka,
Or shab bhar chand ko daikha tha,
Wo raat bhi usko yaad nahi.
Wo kehta tha men sunta tha,
Men kehta tha wo sunta tha,
Un laakhon baaton main koi,
Ik baat bhi usko yaad nahi.
Chupana Raaz Is Dil K
Chupana Raaz Iss Dil Ke
Agar Tum Chor Do Janaa'n !
Tumhein Mujhse Mohabbat Hai
Agar Tum Bol Do Janaan !
To Jeewan Ke Safar Mein
Raasta Aasaan Ho Jaye
Hamaray Paas Bhi Jeene Ka
Kuch Saamaan Ho Jaye
Wa'garna Hum ... !
Tumhare Dil Ke Darwazay Ke Bahar
Aaas Mein Baithay Rahein Ge !
Tum Kabhi To Band Darwazay Ko Kholo Gi
Mere Shaanay Pe Sar Rakh Kar
Kabhi Dheere Se Bolo Gi
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,
Agar Tum Bol Do Jaanaan!
*
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi Sunsaan Sapnay main chupi khuahish ki hiddat main
Kisi masrofiyat ke moor per
Tanhai ke sehraon main ya phir
Kisi anjaan biimari ki shiddat main
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi bicchre hoe ki chasm.e.nam ke nazare per
Kisi Beete Hoe Din ki thakan ki oat se
Ya phir tumhare zikker main guzri hoi shab ke ishare per
kisi basti ki ba.ronoq sarak per
Aur kisi dariya, kisi veeran jungle ke kinare per
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Meri Chup ke kuei'n main
Aarzo'un ke badan jab tairte hain
Aur kinaare se koi bole
To lagta hay ajal aavaz deti hai
Meri becheiniyon main jab tumharai tundkhor ranjish khatakti hai
Tumhari bedardi sullagti hai
Ya phir jab meri ankhon ke sehra main
Tumhari yaad ki tasveer jalti hai, judai aankh malti hai
Mujhe tum yaaad ate ho
Mujhe Tum yaad ate ho
Muqaddar ke sitaron per
Zamanoun ke ishaaron per
Udasi ke kinaaron per
Kabhi veeran shehron main
Kabhi sunsaan rastoun per
Kabhi Hairaan aankhon main
Kabhi be.jaan lamhon per
Mujhe Tum yaad Aate ho
Suhaani shaam ho koi
Khain badnaam ho koi bhale gulfam koi
Kisi ke naam ho koi
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kahin Barish Baras Jae
Kahin Sehra taras jae
Kahin kali khata uter jae
Kahin Baad.e.saba Tehre
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Dasht Main Pyas Bujhaty Huey
Ashk aankhon main chupaty huey mar jaaty hain.
Bojh paani ka uthaa'ty huey mar jaaty hain.
Paaon rakhty hain jo mujh par, unhain ehsaas nahi,
Ham nishanaat mitaaty huey mar jaaty hain.
Barf aisi k pighalti hi nai paani ban kar,
Pyas aisi k bujhaty huey mar jaaty hain.
Achi lagti nahi is darja shana'sai hamen,
Hath hathon sey milaaty huey mar jaaty hain.
Gham'gusaari bhi ajab kaar-e-Mohabbat hai k ham,
Rony waalon ko hansaty huey mar jaaty hain.
Itni qabrain na banao hamary andar tum,
Ham chiraghon ko jalaty huey mar jaaty hain.
*
Dasht main pyas bujhaty huey mar jaaty hain.
Ham prindy kahin jaaty huey mar jaty hain.
Ham hain sookhy huey taalaab par baithy huey hans,
Jo talluq ko nibhaty huey mar jaaty hain,
Kis tarha loag chaly jaaty hain uth kar chup chaap,
Ham jo ye dhayan main laaty huey mar jaaty hain.
Ghar pohanchta hai koi or tumhary jaisa,
Ham tery shehar sey jaaty huey mar jaaty hain.
Un k bhi qatal ka ilzaam hamary sar hai,
Jo hamen zehar pilaaty huey mar jaaty hain.
Ye Mohabbat ki kahani nahi marti laikin,
Loag kirdaar nibhaaty huey mar jaaty hain.
Ham hain wo tooti hui kashtion waaly "Taabish",
Jo kinaaron ko milaaty huey mar jaaty hain.
Dasht-E-Darya K Us Paar
Dasht-e-darya k ye us paar kahan tak jaati?
Ghar ki deewar thi, deewar kahan tak jaati?
Mit gayee hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,
Hijar main hasrat-e-deedar kahan tak jaati?
Thak gaye hont, tera naam bhi laity laity,
Aik hi lafz ki takraar kahan tak jaati?
Tu bohat door, bohat door gaya tha mujh sey,
Meri aawaz, mery yaar kahan tak jaati?
Har tarf husn k baazar lagy they "Mohsin",
Mery chashm-e-khareedar kahan tak jaati?
Hai Yaad Mulaqat Ki Wo Shaam
Hai yaad mulaaqat ki wo sham abhi tak.
Men tujhko bhulany main hoon naakam abhi tak.
Aa tujhko dikhaon k tery baad sitam'gar,
Veeran parry hain ye dar-o-baam abhi tak.
Gar tark-e-talluq ko hua hai aik zamana,
Honton pey machalta hai tera naam abhi tak.
Mehsoos ye hota hai k wo ham sey khafa hain,
Kya tark-e-muhabbat ka hai ilzaam abhi tak?
Meh'khaany main bhooly sey chaly aay they "Mohsin"
Ahbaab ki nazron main hain bad'naam abhi tak
Har Baar Mujhy Zakhm-E-Judai
Har baar mujhy zakhm-e-judai na diya kar.
Agar tu mera nahi to mujh ko dikhaai na diya kar.
Sach jhoot teri aankhon sey ho jata hai zaahir,
Qasmain na uthaa, itni safaaai na diya kar.
Maaloom hai tu rehta hai mujh sey gurezaa'n,
Paas aa k Mohabbat ki duhaai na diya kar.
Toufeeq nahi agar tujh ko wada nibhany ki,
Oron ko bhi tu dars-e-bhalai na diya kar.
Urr jaayen to phir lout k kab aaty hain "Wasi",
Har baar prindon ko rehaai na diya kar.
Ik Soona Sa Chand
Ik soona sa chand mery fasany main reh gaya.
Men doosron ki shammain jalany main reh gaya.
Wo aa k mery shehar sey wapis bhi ja chuka,
Men tha k apny ghar ko sajany main reh gaya.
Wapis hua to ghar mera sholon ki zad main tha,
Men masjidon k deep jalany main reh gaya.
Har pal fraib khaya or muskura diya,
Ab ye riwaaj mery hi gharany main reh gaya.
Duniya sey saari umer taa'rruf na ho saka,
Men tha k khud ko khud sey milany main reh gaya.
Jo Kaanp Uth'ta Tha
Jo kaanp uth'ta tha mujhy ganwany k khouf sey.
Wo chorr gaya mujhy zamany k khouf sey.
Duniya main kuch khaas khush nahi hoon main,
Jee raha hoon bas mar jaany k khouf sey.
Hamari misaal bhi un phoolon ki si hai "Fraz"
Jo khilty hi nahi murjhany k khouf sey.
Kab Lout K Aao Gey
Kab lout k aao gey bata kion nahi daity?
Deewar bahanon ki gira kion nahi daity?
Tum paas ho mery to pata kion nahi daity?
Tum door ho mujh sey to sadaa kion nahi daity?
Ik tery siwa or kisi ko bhi na chaha,
Ye baat zamany ko bata kion nahi daity?
Baahir ki hawaon ka agar khouf hai itna,
Jo roshni andar hai bujha kion nahi daity?
Raaton ko jaagny ki saza daity ho aksar,
Tum ham ko wafaon ka sila kion nahi daity?
*
Ik baar hi jee bhar k saza kion nahi daity?
Men harf-e-ghalat hoon to mita kion nahi daity?
Moti hoon to daman-e-muzna main piro lo,
Aansu hoon to palkon sey gira kion nahi daity?
Saya hoon to sath na rakhny ki waja kya?
Pathar hoon to rasty sey hata kion nahi daity?
*
Dil husn k sholon main jala kion nahi daity?
Tum mujhko muhabbat ki saza kion nahi daity?
Dil ki sunsaan raahon par sey guzar jaaty ho chup chaap,
Jo dil pey guzarti hai bata kion nahi daity?
Ik aag jo bujhti hai na bharrakti hai dil main,
Us aag ko daaman ki hawa kion nahi daity?
Ro ro k shab-e-hijar guzaro gey kahan tak?
Tum uski muhabbat ko bhula kion nahi daity?
Aey phool sey chehro,zara itna to batao,
Tum dard to daity ho,dawa kion nahi daity?
Kaha Tha Na K Yoon
Kaha Tha Na K Youn Sote Hue
Mat Chor K Jana
Mujhy Beshak Jga Dena
Bta Dena
Tumhain Rasta Badalna Hai
Meri Had Sy Nikalna Hai
Tumhain Kis Baat Ka Dar Tha
Main Tumhain Jane Nahi Deta
Kahin Py Qaid Kr Leta
Ary Pagal Mohabat Ki Tabiat Main
Zabardasti Nahi Hoti
Jisy Rasta Badalna Ho
Usy Rasta Badalny Se
Jisy Had Sy Nikalna Ho Usy Had Sy Nikalny Sy
Na Koi Rok Raya Hai Na Koi Rok Paye Ga
Tu Tumhain Kis Baat Ka Dar Tha
Mujy Beshak Jaga Dety
Me Tumko Dekah He Leta
Tumhain Koi Dua Deta
Kamazkam Youn Tu Na Hota
Mery Sathi Ye Haqiqat Hai
Tumhary Baad Khone K Lie
Kuch Bhi Nai Baki
Magar Main Khone Sy Darta Hoon
Main A Sony Sy Darta Hoon
Kaha Tha Na Youn Chor Kr Mat Jana
Kaha Tum Ney Mujhy Dil Sey
Kaha tum ney,
Mujhy dil sey bhula do tum.
Mita do tum.
Chalo men maan laita hoon,
Tumhen men apny is dil sey,
Bhula doon ga, mitaa doon ga.
Magar ik kaam to kar do,
K dariya k kinaaron ko,
Kisi soorat mila do tum.
Sitaary torr kar laa do,
Ya phir is phool sey khushbu,
Juda kar k dikha do tum.
Suno Tum kar bhi lo aisa,
Kinaary jorr bhi laao,
Sitaary torr bhi laao,
Chaman k saary phoolon sey,
Juda khushbu ko kar do tum.
Magar men tum ko is dil sey,
Mita phir bhi nahi sakta,
Suno Men mar to sakta hoon,
Bhula phir bhi nahi sakta.
Kahaniyan Na Suno
Kahaniyan na suno aas paas logon ki.
K mera shehar hai basti Udaas logon ki.
Muhabbat ka safar khatam hi nahi hota,
Hamain to dosti aayee na raas logon ki.
Hamain bhi apny yaad aaty hain,
Chaly jo baat khaas khaas logon ki.
Men aany waaly zamany sey dar raha hoon "Naaz",
K men ney daikhi hain aankhain udaas logon ki.
Kaho To Lout Jaaty Hain
Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak Hay. Baalon Tak Nahi Aai
Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Hain
Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni
Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.
Kaho To Lout Jatay Hain
Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta
Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho JaYen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho JaYan.
Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Hain In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Hain…
Kahoo To Lout Jatay Hain…
Koi Deewana Kehta Hai
Koi Deewana Kehta Hai
Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko
Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa
Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai
Ya Mera Dil Samajhta Hai
K Mohhabat Ek Ehsason Ki
Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha
Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain
Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai
Jo Na Samjhe To Pani Hai
Samander Peer Ka Aander
Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti
Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan
Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo
Tera Ho Nahi Sakta
Bharar Koi Kumudani Par
Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi
Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte
The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein
Badal Baitha To Hungama
Koi Waqt Purana Yaad Aaya
Bikhri bikhri shaamon main,
Sehmi sehmi raaton main,
Tanha tanha lamhon main,
Gum'sum gum'sum baaton main,
Kuch guzra zamana yaad aaya.
Aaj gosha-e-tanhai main,
Ik shakhs purana yaad aaya.
Kaghaz ki tehreeron main,
Dhundli si tasveeron main,
Ik chehra anjana yaad aaya,
Wo parrhna usy kitaabon main,
Or dhoondna usy khuwabon main,
Usy paany ki is koshish main,
Meri neend ka jaana yaad aaya.
Aaj gosha-e-tanhai main,
Ik shakhs purana yaad aaya.
*
Koi waqt purana yaad aya.
Koi dour sohana yaad aya.
Or chalk sey un deevaron par,
Kuch likh kar jana yaad aya.
Tera milna neem ki chaaon main,
Or sar rakh daina kandhy par,
Mera ye kehna, koi daikh na ley,
Tera wo ghabrana yaad aya.
Kabhi aisa bhi to hota tha,
Men tujhko chorrny jata tha,
Jab wapas aany lagta tha,
Tera hath hilana yaad aya.
Wo waqt gaya, beety lamhy,
Ab har janib tanhai hai,
Ab aik hi manzar aankhon main,
Tera chorr k jana yaad aya.
Kuch Apni Ghalatiyon Ka Azaala Karo
Kuch apni ghalatiyon ka azaala karo "Wasi".
Yoon nafraton ko dil main na pala karo "Wasi".
Seedha sa ik sawal hai, seedha jawab do,
Yoon muskura k mujh ko na taala karo "Wasi".
Sanbhly huey loagon k girny ki fikar chorro,
Jo gir rahy hain un ko sanbhala karo "Wasi".
Alfaz gira daity hain jazbaat ki qeemat,
Jazbaat ko lafzon main na dhaala karo "Wasi".
Lahu Lohaan Chiraghon K Sar
Lahu-lohaan chiraghon k sar mily hain mujhy.
Tumhary shehar main aisy bhi ghar mily hain mujhy.
Mujhy batao agar ghonsly salamat they,
Hawa main urrty huey kis k par mily hain mujhy.?
Men apny jaisy kisi shakhs ki talash main tha,
Magar yahan to sabhi moat'bar mily hain mujhy.
Prindy lout kar na aayen jin shakhon par,
Mera naseeb k aisy shajar mily hain mujhy.
Men Aisi Mohabbat Karti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Tum Jahan Peh Beth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon
Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho
Wo Khuwab Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon
Sawal-E-Muhabbat
Tum Jehan Bhi Beth Ker Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagata Hoon
Main Waheen Per Baitha Rehata Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Muhabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho
Jis Bagh Main Subh Tum Jaati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhein Choo Jati Hai
Jo Khushbu Tum Ko Bhaati Hai
Wo Oas Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Choom Kay Phooloan Ko
Jo Tum Sai Milnay Aati Hai
Wo Tum Ko Choomnay Aati Hai
Jawab-E-Muhabbat
Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kartay Ho
Tum Jab Bhi Ghar Per Aatay Ho
Aur Sab Sai Batein Kartay Ho
Main Oat Sai Parday Ki Jaanah
Bas Tum Ko Daikhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Daikhnay Ki Kahtir
Main Kitni Pagal Hoti Hoon
Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya, Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Sab Kuch Chore Kay Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paon To
Ji Bhar Kay Ronay Lagti Hoon
Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Mehfil Main Kaheen Jab Jana Ho
Kaproan Ka Selection Karna Ho
Rung Bahut Sai Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pai Dil Ajata Hai
Wo Rung Tum Ko Bhata Hai
Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Huay
Ya, Break Kay Khali Ghantay Mein
Sakhion Sai Batein Kartay Huay
Mairiay Dehaan Main Tum Aajatay Ho
Main, Main Nahi Rehti Jaanah
Main Tum Mein Gum Ho jati Hoon
In Ankhoan Main Kho Jaati Hoon
Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hoon
Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Men Ney Ulfat K Taqazon Ko
Men ney ulfat k taqazon ko nibhaya aksar.
Or loagon ney mera dard bharrhaya aksar.
Men ney tooty huey loagon ko uthana chaha,
Or loagon ney sar-e-raah giraya aksar.
Men ney chahat ko zamany main tamasha na kiya,
Apny dhalty huey ashkon ko chupaya aksar.
Yoon tery tark-e-talluq sey shikayat kaisi?
Chorr daita hai mera sath bhi saya aksar.
Meri Zindagi To Firaak Hai
Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
Hamain Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi
Hamain Aap Khainchiye Daar Par, Jo Nahin Koi To Hameen Sahi
Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashr Ho, Hamain Intezaar Qabool Hai
Wo Kabhi Milen,Wo Kahin Milen,Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi
Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin, Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hun, Wo Mere Nahin, To Nahin Sahi
Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay, Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay
Teri Anjuman Men Agar Nahin, Teri Anjuman Ke Qareen Sahi
Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka, Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi
Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai, Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi
Meri Zindagi Ka Naseeb Hai, Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai
Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai, Wo Agar Nahin To Naheen Sahi
Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye, Use Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Karainge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yaheen Sahi
Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi, To 'Naseer' Dekh Hi Lainge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Hon, Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi
Mohabbat Ous Ki Soorat
MOHABBAT OSS KI SURAT
Pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hai
Gulon ki aastinoon main anokhay rang bharti hai
Sahar k jhatpatay main gungunati muskurati jagmagati hai
Mohabbat k dino main dashat bhi mehsoos hota hai
Kisi firdos ki surat.........mohabbat oss ki surat
MOHABBAT ABAR KI SURAT
Dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hai
Chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hai
Azal ki bay namoo'n matti main sabza sar uthata hai
Mohabat un ko bhi aabad aur shadaab karti hai
Jo dil hian qabar ki surat....mohabbat abar ki surat
MOHABBAT AAG KI SURAT
Bhujay seeno'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
Mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
Keh ..jitna yeh bharakti hai ,uroos-e-jan mehakti hai
Dilon k saahilon pay jamma hoti aur bikharti hai
Mohabbat jhaag ki surat...mohabat aag ki surat
MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
Nigahon main utarti hai kisi mahtaab ki surat
Sitaaray aarzu k is terhaan say jagmagatay hain
K pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
Mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
Tou shaakhain jaag uthti hain
Thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
Tu kab ki muntizar aankhon main........shammain jaag uthti hain
Mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
Mohabbat aag ki surat.....mohabat khawab ki surat
MOHABBAT DARD KI SURAT
Guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hai
Shabaan-e-hijar mein roshan sitarah ban k rehti hai
Mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain
Nagar mein na umeedi ki hawayen sansanati hain
Gali main jab koi aahat koi saya nahi rehta
Dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
Ghamon k bojh say jab toutnay lagtay han shaanay tu
Yeh unn pay haath rakhti hay
Kisi hamdard ki surat
Guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
Fizaa mein tairti hai dair tak......
Yeh gard ki surat....mohabbat dard ki surat ...
Muddat Sey Yehi Jaan-E-Adaa
Muddat sey yehi jaan-e-ada soch raha hoon.
Tum kaisy huey mujh sey juda soch raha hoon.
Shikwa nahi tum sey na koi khud sey gila hai,
Ulfat main hui kis sey khata soch raha hoon.
Murr k nahi daikha tha alag baat hai laikin,
Jaaty huey aayee jo sada soch raha hoon.
Ab tery siwa Rab sey duaon main kya maangon?
Ab haath uthaay to dua soch raha hoon.
Jis ney kabhi duniya main sach bol diya hai,
Kion loag huey us sey khafa soch raha hoon.
Mujh Sey Baad-E-Baharan Ney
Mujh sey baad-e-baharaan ney ro kar kaha,
Teri qismat baharon k qaabil nahi.
Teri duniya hai ashkon main doobi hui,
Teri aankhen nazaron k qaabil nahi.
Meri kashti ko toofan ney bousy diye,
Boli mouj-e-talatum mujhy daikh kar,
Teri taq'deer main hain bhanwar hi bhanwar,
Teri kashti kinaron k qaabil nahi.
Us ney mehfil sey mujhko utha kar kaha,
Mera peecha Khuda k liye chorr do,
Meri mehfil main phir na aana kabhi,
Ye muhabbat k maaron k qaabil nahi.
Or Ham Hain Dosto
Us bewafaa ka shahar hai aur ham hain doston
Ashk-e-ravaan ki nahar hai aur ham hain doston
Shaam-e-aalam dhali to chali dard ki hawaa
Raaton ka pichlaa pahar hai aur aur ham hain doston
Aankhon mein urr rahi hai luti mahfilon ki dhuul
Ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain doston
Ye Ajnabi si manzilen aur raftagaan ki yaad
Tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain doston
Phir Bhi Baithi Hai Khizan
Phir bhi baithi hai khizaan baagh ki deewar k sath.
Jab k patta bhi nahi hai ashjaar k sath.
Aik hai meri anaa, aik anaa kis ki hai?
Kis ney deewar bana di, meri deewar k sath?
Tum barry loag ho, seedhy hi guzar jaaty ho,
Warna kuch tang si galiyan bhi hain bazar k sath.
Men ney pehchan liya door sey ghar tera,
Phool lipty huey daikhy jahan deewar k sath.
Mustaqil dard ka souda hai zara narmi sey,
Kuch riaa'yat bhi to karty hain khareedar k sath.
Tooty Huey Dil Ki Qasam
Tooty huey dil ki qasam, tujhy dil sey rawana kar k.
Ro parra aankh main tinky ka bahana kar k.
Shaam k saaye jo suraj ko chupaany nikly.
Ham diye ley k andhairon ko jalany nikly.
Or to koi na tha jo jurm-e-baghawat karta,
Aik ham hi they jo ye rasm nibhany nikly.
Shehar main, dasht main, sehra main bhi tujh ko paya,
Aey mery yaar tery kitny thikaany nikly.
Chaand nikla to men logon sey lipat kar roya,
Gham k aansu they jo khushiyon k bahany nikly.
Tum Hi Ko Ham Ney Chaha Tha
Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Waheen Khiltay Tu Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Miltay Tu Acha Tha
Tumhain Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad Aayee Hai
Bahra-E-No Jo Aayee Hai, Wohi Khushbo Bhi Layee Hai
Tumharay Lab Meri Khater Hiltay Tu Acha Tha
Tum Hi Ko Ham Ne Chaha Tha Tumhi Miltay Tu Acha Tha
Mila Hai Lutf Bhi Ham Ko Haseen Yaadoon Ki Jhilmal Main
Kati Hai Zindagitum Bin, Mager Kami Si Hai Dil Main
Ager Aatay Tu Acha Tha, Ager Miltay Tu Acha Tha
Tum Hi Ko Ham Ne Chaha Tha Tum Hi Miltay Tu Acha Tha
Koi Aa Ker Humain Poochay Tumhain Kaisay Bhulaya Hai
Tumharay Khat Ko Ashkoon Se Shab-E-Gham Main Jalaya Hai
Hazaroon Gham Aisay Hi, Ager Miltay Tu Acha Tha
Tum Hi Ko Hum Ne Chaha Hai Tum Hi Miltay Tu Acha Tha
Tum Yaad Ho To
Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par
Tum ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho
Tum khuwaab ho to meri in aankhon main ho kahan?
Tum wehem ho to mujh ko haqeeqat say kia gharz
Tum ba'is-e-safar ho huner ki urraan ho
Tum neend ho to so ke guzarain gay yeh hayaat
Tum husun ho to mere takahyyul ki jaan ho
Tum raat ho to mujh ko kahan subha ki talab
Tum noor ban ke dil main samaye ho aaj-kal
Tum khaak ho to khaak nasheenoon ki ho talaash
Tum derd ho to rooh pe chhaaye ho aajkal
Tum dasht ho to main bhi musafir hoon dasht ka
Tum chand ho to talkh andhairon ki kia fiker
Tum bay niyaaz ho to zamaney say ho alag
Tum rang ho to phir yeh baharon ka ziker kiya
Tum bay-samar rutton main baharoon ki ho umeed
Tum reh guzaaar-e-shoq main jazba junoon ka
Tum aarzoo ho Ehl-e-tamanna ki ho khalish
Tum rat-jagon ki bheerr main lamha sukoon ka
Tum baywafa rutton main hawala ho ishq ka
Tum baybasi ho phir bhi muheet-e-hayaat ho
Tum ik kiran ho noor-e-azal say dhuli hoi
Tum taazgi ho shabnami phoolon ki aas ho
Tum gehrey paaniyon main chupey motiyon ka lams
Tum moat ke safar main nishaan-e-hayaat ho
Tum meri chashm-e-nam main sitaron ki kehkashaan
Tum husn-e-baymisaal meri kaayenaat ho
Tum jab say ho gaye ho meri dastaras say door
Main ji raha hoon kiun keh zaroori hay zindagi
Sanson ke bojh ko bhi uthana hai rooh ne
Laikin tere baghair adhoori hay zindagi.
Laikin tere baghair------------------------------
------------------------------Adhoori hai zindagi.
Tumhary Qafily Ka Har Gharri
Tumhary qafily ka har gharri manzar badalta hai.
Kabhi rahzan badalta hai, kabhi rehbar badalta hai.
Libaas-e-faakhira ki aarzu to sab ko hai laikin,
Kahan malboos k andar koi paikar badalta hai.
Tum ik insaan k badly huey taiwar pey hairaa'n ho,
Ye wo mousam hai k panchhi bhi apny par badalta hai.
Chaahaton sey usy men ney Mohabbat sey trasha hai,
Bas ab ye daikhna hai rang kab pathar badalta hai.
Usy to shok hai har dil main yoon jaa kar theharny ka,
Wo kuch hi roz main uktaa k apna ghar badalta hai.
Agar maalik k dar sey jaanwar jata nahi to phir,
Ye insaa'n kaisa insaa'n hai jo itny dar badalta hai?
Tumhen Jo Be'Sabab Mujh Sey
Tumhen jo be'sabab mujh sey khafa hony ki aadat hai.
Ye aaghaaz-e-judai hai k andaaz-e-muhabbat hai?
Wafa k rang main daikho, jafa achi nahi hoti,
Kisi sey pyar main itni anaa achi nahi hoti,
Chalo ab maan bhi jaao, bohat si ho chuki ranjish,
Kisi din or kar laina ye poori tum apni khawahish,
Faqat kehny ki baatain hain, nibhata kon hai kis ko?
Chalo ab daikh laity hain, manata kon hai kis ko?
Udasi
Chup chaap rehna, kuch na kehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Hans k saary sadmy sehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Baithy baithy kho jana,
Yoonhi door khayalon main,
Chalty chalty hansty rehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Dil ki baatain sun kar hansna,
Ye to sab ki aadat hai,
Gham ki baat pey hansty rehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Maar k kankar lehrain gin'na,
Baith k jheel kinary par,
Kuch logon ka hai ye kehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
***
Thaka gaya hai musalsal safar udasi ka.
Or ab bhi hai mery shaany pey sar udasi ka.
Wo kon keemiya'gar tha k jo bikhair gaya,
Tery gulab sey chehry pey zar udasi ka.
Mery wajood k khalwat kady main koi to tha,
Jo rakh gaya hai diya taaq par udasi ka.
Men tujh sey kaisy kahoon yaar meharbaa'n mery,
K tu ilaaj nahi meri har udasi ka.
***
Skaoot-e-aashna main goonji sadaa udaasi ki.
K hai mazeed udaasi, dawa udaasi ki.
Amoor-e-dil main kisi teesry ka dakhal nahi,
Yahan faqat teri chalti hai, ya udaasi ki.
Bohat shareef tha men, or hansta phirta tha,
Phir ik faqeer ney dey di, dua udaasi ki.
Chiragh-e-dil ko zara ehtiyat sey rakhna,
K aaj raat chaly gi, hawa udaasi ki.
Bohat dinon sey mulaqat hi nahi "Mohsin",
Kahin sey khair khabar ley k aa udaasi ki.
Us Pey Khul Jati Mery Shok Ki
Us pey khul jaati mery shok ki shiddat saari,
Daikhy hoty jo mery paaon k chhaaly us ney.
Jis ka har aib zamany sey chupaya men ney,
Mery qissy sar-e-baazaar uchhaaly us ney.
Jab usy meri Mohabbat pey bharosa hi na tha,
Kion diye meri wafaaon k hawaaly us ney?
Meri dam torrti khawahish ka khayal na aa saka,
Apny armaan hamesha hi nikaaly us ney.
Ik mera hi to haath na thama us ney,
Warna girty huey kitny hi sanbhaaly us ney.
Wo Ik Nazar Sey Mujhy
Wo Kehti Thi K Har Soorat
Wo kehti thi k hAr Soorat Tumy Apna bnaon gi,
Nichavar khwab kar dongi Tmhary har Ishare par,
Kabi Pipal ki Chaon me, kabi Nadia kinary par,
Tumhay Thndak Ata kar dongi 1 Barsat ki Manind,
Bikharty Chand Taron me Ujalti Rat ki Manind,
MUjhe Tm se Mohabbat hy Ma Logon ko btaongi,
Wo kEhti thi k har Soorat Tmhy Apna bnaongi,
Ma Chahon gi Tumhy Jana Umangon se Ujaalon tak,
Khudi k dasht se Le kar Naye Janmon k Salon tak,
MEri Thandi c Tanhai Sulagti Rat jesi ho,
Mujy bus 7 Le jao bhale barsaat jesi ho,
TUmhary surkh joray me he dulhan ban kar aongi,
Wo kehti thi k har Surat Tumhay Apna banaongi.
Mujhe Tum se Mohabat hy Ma Dunia ko btaongi.
Wo khti thi k hr Surat Tmhy Apna banaongi...
Wo paani ki lehron pe kya likh rahi thi?
Khuda jany harf-e-dua likh rahi thi.
Likha jis ne nawal wafa ka adhora,
Wohi pyaar ki intha likh rahi thi.
Bhala karty karty thi guzri jawani,
Magar phir bhi khud ko bura likh rahi thi.
Muhabbat men mili thi nafrat usy,
Wo har shakhs ko be-wafa likh rahi thi.
***
Us k marny pey uski ye kahani likhna.
Kesy huwi barbad uski jawani likhna.
Ye likhna k usy intzar bohat tha kisi k aany ka,
Akhri sans kesy hui, ye rawani likhna.
Ye bhi likhna k us k hont khushi k liye taras gay,
Kitna barsa hai ankhon se paani likhna.
Ye bhi likhna k deti thi duayen usy,
Hath qafan se bahir they ye nishani likna.
Yaar Bhi Raah Ki Dewar Samajhty Hain
Yaar bhi raah ki deewar samajhty hain mujhy.
Men samajhta raha sab yaar samajhty hain mujhy.
Men to yoon chup hoon k andar sey bohat khaali hoon,
Or sab loag pur'israar samajhty hain mujhy.
Men badalty huey haalat main dhal jaata hoon,
Daikhny waaly adaa'kaar samajhty hain mujhy.
Wo jo us paar hain, un k liye is paar hoon men,
Wo jo is paar hain, us paar samajhty hain mujhy.
Naik loagon main mujhy naik gina jata hai,
Or gunah'gaar, gunaah'gaar samajhty hain mujhy.
Ye Ankh Rony Ki Shiddat Sey
Ye aankh rony ki shiddat sey laal thorri hai.
Malaal magar itna malaal thorri hai.
Bas apny waasty hi fikar'mand hain sab loag,
Yahan kisi ko kisi ka khayal thorri hai.
Paron ko kaat diya hai urraan sey pehly,
Ye khouf-e-hijar hai, shouq-e-wisaal thorri hai.
Maza to jab hai k haar k bhi hansty raho,
Hamesha jeet hi jaana, kamal thorri hai.
Lagani parrti hai dub'ki ubharny sey pehly,
Gharoob hony ka matlab zawwal thorri hai.
Zara Tum Sham Hony Do
Men titliyon ko sula doon ga zara tum sham hony do.
Men jugnuwon ko jaga doon ga zara tum sham hony do.
Men rootha pyar mana loon ga zara tum sham hony do.
Meri ankhon ko na daikho tum haqarat sey,
Men tumko rula doon ga zara tum sham hony do.
Kahan aaghaz hota hai,kahan anjaam hota hai,
Hunar saary sikha doon ga zara tum shaam hony do.
Mera ye yaqeen hai k andhera tumko choo nahi sakta,
Men apna ghar jalan doon ga zara tum sham hony do.
Jo tum ney mujh sey poocha hai kahan ho gi tumhari sham,
Jahan ho gi bata doon ga zara tum sham hony do.