World's Ever Best Urdu Poetry

Special Offer
To receive the World's Ever Great Messages Collection on your Mobile;

Volume 5

Apni zaat pey tanhai ka libaas rakhta hoon.
Men khaas phool hoon, rang bhi khaas rakhta hoon.
Mujhy ab kisi khushi ki haajat ho bhi to kaisy?
Bas uski yaad sey aksar khud ko udaas rakhta hoon.
Men us k dard ko kion baant'ta phiroon?
Men apni cheezain faqat apny paas rakhta hoon.

Us pey khul jaati mery shok ki shiddat saari,
Daikhy hoty jo mery paaon k chhaaly us ney.
Jis ka har aib zamany sey chupaya men ney,
Mery qissy sar-e-baazaar uchhaaly us ney.
Jab usy meri Mohabbat pey bharosa hi na tha,
Kion diye meri wafaaon k hawaaly us ney?
Meri dam torrti khawahish ka khayal na aa saka,
Apny armaan hamesha hi nikaaly us ney.
Ik mera hi to haath na thama us ney,
Warna girty huey kitny hi sanbhaaly us ney.

Chorr ye baat mily zakhm kahan kahan sey mujh ko aey Zindagi,
Tu sirf itna bata, kitna safar baaqi hai?

Baad'shaahat ka aitbaar hi kya.
Ehteya'tan faqeer rehny do.

Kaha tha men nazzuk hoon, na traash mujhy.
Tu ney kar diya hai junoon main paash paash mujhy.
Mujhy khabar karna jo mera nishaa'n paao kahin,
Bohat dinon sey hai apni tlaash mujhy.

Tumhi sey rooth kar tum ko musalsal daikhta hoon men,
Mujhy to theek sey naaraaz hona bhi nahi aata.

Qaafly raah main qadmon k nishaa'n chorr gaye,
Kaash khushbu ki tarha dard bhi hijrat karty.

Dil k rishton ki nazaqat wo kya jaany "FRAZ"
Narm lagzon se bhi lag jaati hain chooten aksar.

Men fana ho gaya wo badla phir bhi nahi"FRAZ"
Meri wafa se bhi sachi thi nafrat us ki.

Men to khush fehmi men tha k men sab ko bhata hoon,
Men aziz to sab ko hoon magar zarorton ki tarha.

Men bas ik baar lajawab huwa "FAIZ"
Kisi apny ne kaha jab kon ho tum?

Likhty hain naam hamara matti par or mita dety hain,
Un k liye ye khail ho ga magar hamen wo matti men mila dety hain.

Khairat men mili khushi mujhy achi nahi lagti"FRAZ"
Men apny hi dukhon men rehta hoon nawabon ki tarha.

Kon deta hai umer bhar sahara "FRAZ"?
Yahan to log janazy men bhi kandha badalty rehty hain.

Kabhi zindagi se gila kar k roye.
Kabhi mout ki ham dua kar k roye.
Ajab hai ye nimaz-e-muhabbat,
Qaza kar k roye,Ada kar k roye.

Jis kashti k muqaddar men ho doob jana "FRAZ"
Toofan se bach bhi nikly to kinary rooth jaty hain.

Is dil-e-hasti ko us se pyar hai bohat.
Magar wo shakhs bhi fankaar hai bohat.
Naa mily to milny ki justuju bhi nahi karta,
Or milta yoon hai jaisy hamara talabgaar hai bohat.

Ye qurbatain to barry imthaan laiti hain,
Kisi sey waasta rakhna to door ka rakhna.

Is raah-e-muhabbat ki tum baat na poocho.
Kis tarha guzarty hain din raat na poocho.
Anmol jo insan hain,be-moul biky hain,
Duniya k is bazar ki tum ouqaat na poocho.

Chup chaap rehna, kuch na kehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Hans k saary sadmy sehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Baithy baithy kho jana,
Yoonhi door khayalon main,
Chalty chalty hansty rehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Dil ki baatain sun kar hansna,
Ye to sab ki aadat hai,
Gham ki baat pey hansty rehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
Maar k kankar lehrain gin'na,
Baith k jheel kinary par,
Kuch logon ka hai ye kehna,
Ye bhi aik udaasi hai.
***
Thaka gaya hai musalsal safar udasi ka.
Or ab bhi hai mery shaany pey sar udasi ka.
Wo kon keemiya'gar tha k jo bikhair gaya,
Tery gulab sey chehry pey zar udasi ka.
Mery wajood k khalwat kady main koi to tha,
Jo rakh gaya hai diya taaq par udasi ka.
Men tujh sey kaisy kahoon yaar meharbaa'n mery,
K tu ilaaj nahi meri har udasi ka.
***
Skaoot-e-aashna main goonji sadaa udaasi ki.
K hai mazeed udaasi, dawa udaasi ki.
Amoor-e-dil main kisi teesry ka dakhal nahi,
Yahan faqat teri chalti hai, ya udaasi ki.
Bohat shareef tha men, or hansta phirta tha,
Phir ik faqeer ney dey di, dua udaasi ki.
Chiragh-e-dil ko zara ehtiyat sey rakhna,
K aaj raat chaly gi, hawa udaasi ki.
Bohat dinon sey mulaqat hi nahi "Mohsin",
Kahin sey khair khabar ley k aa udaasi ki.

Rehny dey ye kitaab tery kaam ki nahi,
Is main likhy huey hain wafaon k tazkary.

Taqdeerain badal jaati hain jab zindagi ka ho koi maqsad,
Warna umar kat hi jaati hai taqdeer ko ilzaad daity daity.

Shaoor ka hai krishma, ya shok-e-tanhai,
Rafta rafta nazar sey utar rahy hain loag.

Hunar ab aa gaya mujh ko wafaon ko parakhny ka,
Dikhawy ki har ik chahat men wapis morr daita hoon.

Palat kar bhi na daikho, na tum aawaz do mujh ko,
Barri mushkil sey seekha hai kisi ko alvida kehna.

Mujh sey kehti hai teri saath rahoon gi,
Bohat pyar karti hai mujh sey udaasi meri.

Tera na ho saka to mar jaaon ga "Fraz",
Kitna khoob'soorat wo jhoot bolta tha.

Us ko sonp di darya ki nigh-e-baani tum ney,
Jis sey aanso bhi apni ankh ka sanbhala nahi jata.

Ankhon ki gali main koi aawara sa aansu,
Palkon sey tery ghar ka pata pooch raha hai.

Mery dil k kisi kony main ik maasoom sa bacha,
Barron ki daikh kar duniya, barra hony sey darta hai.

Wo shakhs kabhi dasht sey guzry usy kehna.
Ik pal mery ghar main bhi thehry usy kehna.
Kehna k sumandar k kinary pey na jaaye,
Kuch loag sumandar sey bhi hain gehry usy kehna.
Zar'khaiz zameenain kabhi banjar nahi hooteen,
Darya hi badal laity hain rasty usy kehna.
Is shehar main sach keh k gunah'gaar na hona,
K basti k sabhi loag hain behry usy kehna.

Aarzu'yen fazol hoti hain.
Goya k kaghaz k phool hoti hain.
Har kisi k naam par nahi rukteen,
Dharrkanain ba'asool hoti hain.
Koi mery labon ko bhi laa dey,
Jo dua'yen qabool hoti hain.
Khawab tootain ya bik jaayen "Mohsin",
Qeematain kab wasool hoti hain.

Tumhary qafily ka har gharri manzar badalta hai.
Kabhi rahzan badalta hai, kabhi rehbar badalta hai.
Libaas-e-faakhira ki aarzu to sab ko hai laikin,
Kahan malboos k andar koi paikar badalta hai.
Tum ik insaan k badly huey taiwar pey hairaa'n ho,
Ye wo mousam hai k panchhi bhi apny par badalta hai.
Chaahaton sey usy men ney Mohabbat sey trasha hai,
Bas ab ye daikhna hai rang kab pathar badalta hai.
Usy to shok hai har dil main yoon jaa kar theharny ka,
Wo kuch hi roz main uktaa k apna ghar badalta hai.
Agar maalik k dar sey jaanwar jata nahi to phir,
Ye insaa'n kaisa insaa'n hai jo itny dar badalta hai?

Ajab ye marhala aaya k hijr-o-qurb yaqsaa'n hain,
Asar ab kuch nahi hota, jafa kar lo, wafa kar lo.

Husn har baar shararat main pehal karta hai,
Baat barrhti hai to phir ishq k sar aati hai.

Yehi dastoor-e-ulfat hai nami aankhon main ley kar bhi,
Tumhen ye kehna parrta hai k mera haal behtar hai.

Ashk moti hai agar deeda-e-tar sey na giry.
Moa'tbar hai wohi patta jo shajar sey na giry.
Bheek milti hai panaahon ki barri mushkil sey,
Aadmi takht sey gir jaaye, nazar sey na giry.

Jaao jeet ka jashn manao,
Men jhoota, Tum sachy.

Toofaan k dhaaro ruk jaao, ley jaao na ham ko sahil par,
Kashti ki qasam, moujoon ki qasam, sahil pey hamara koi nahi.

Sun kar tmaam raat meri daastaan-e-gham,
Wo muskura k boly, Bohat bolty ho tum.

Dhoondo gey ujrry rishton main wafa k khazany,
Tum mery baad meri Mohabbat ka ehtraam karo gey.

Chalo phir dhoond laayen ham,
Usi maasoom bach'pan ko.
Unhi maasoom khushiyon ko,
Unhi rangeen lamhon ko,
Jahan gham ka pata na tha,
Jahan dukh ki samajh na thi,
Jahan bas muskurahat thi,
Baharain hi baharain theen,
K jab saawan barasta tha,
To us kaaghaz ki kashti ko,
Banana or dubaa daina,
Bohat acha sa lagta tha.
Or is duniya ka har chehra,
Bohat sacha sa lagta tha.
Chalo phir dhoond laayen ham,
Usi maasoom bach'pan ko.
***
Jaisy hain nazar aaty,
Aey waqt gawahi dey,
Ham loag na they aisy.
Ye shehar na tha aisa,
Ye roag na they aisy.
Deewar na they rasty,
Zandaan na thi basti,
Aazaar na they rishty,
Khiljaan na thi basti.
Yoon mout na thi sasti.
Ye aaj jo soorat hai,
Haalaat na they aisy.
Yoon ghair na they mousam,
Din raat na they aisy.
Tafreek na thi aisi,
Sanjog na they aisy.
Aey waqt gawahi dey,
Ham loag na they aisy.
***
Umeed abhi kuch baaqi hai,
Ik basti basny waali hai,
Jis basti main koi zulm na ho,
Or jeena koi jurm na ho,
Wahan phool khushi k khilty hon,
Or mousam saary milty hon.
Bas rang or noor barasty hon,
Or saary hansty basty hon.
Umeed hai aisi basti ki,
Jahan jhoot ka karoo-baar na ho,
Dehshat ka baazaar na ho,
Jeena bhi dushwaar na ho,
Marna bhi aazaar na ho,
Wahan khoon ki holi aam no ho,
Us aangan main gham ki shaam na ho,
Jahan munsif sey insaaf mily,
Dil sab ka sab sey saaf mily,
Ik aas hai aisi basti ho,
Jahan roti zehar sey sasti ho.

Dil bohat kushaada kar liya kya?
Zamany bhar sey wada kar liya kya?
To kya such much judai mujh sey kar li?
To khud apny ko aadha kar liya kya?
Bohat nazdeek aaty jaa rahy ho,
Bicharrny ka iraada kar liya kya?

Raah takty huey jab thak gayee aankhain meri,
Dhoondny un ko meri aankh sey aansu nikly.

Kitaab-e-dil main jo nafrat ka baab rakhta tha.
Wo chaahaton ka mukammal hisaab rakhta tha.
Fraib daita raha dil lagi k pardon main,
Wo shakhs chehry pey kitny naqaab rakhta tha.
Us k haathon main pathar dikhaai daity hain,
Jo apny haathon main har dam gulaab rakhta tha.
Wo shakhs jo bhatak'ta dikhaai daita hai,
Raah-e-wafa main qadam kaamyaab rakhta tha.
Kahan tlash karoon men us ko "Mohsin"?
Jo apni baat main apna jawab rakhta tha.

Wo paani ki lehron pe kya likh rahi thi?
Khuda jany harf-e-dua likh rahi thi.
Likha jis ne nawal wafa ka adhora,
Wohi pyaar ki intha likh rahi thi.
Bhala karty karty thi guzri jawani,
Magar phir bhi khud ko bura likh rahi thi.
Muhabbat men mili thi nafrat usy,
Wo har shakhs ko be-wafa likh rahi thi.
***
Us k marny  pey uski ye kahani likhna.
Kesy huwi barbad uski jawani likhna.
Ye likhna k usy intzar bohat tha kisi k aany ka,
Akhri sans kesy hui, ye rawani likhna.
Ye bhi likhna k us k hont khushi k liye taras gay,
Kitna barsa hai ankhon se paani likhna.
Ye bhi likhna k deti thi duayen usy,
Hath qafan se bahir they ye nishani likna.

Tum sey nafrat boht zaroori thi,
Ye na karty to pyar ho jata.

Dil ki zinda dili k kya kehny,
Kisi thokar ki zid main rehta hai.

Socho to saari umar Mohabbat main kat gayee,
Daikho to aik pal bhi wo ham ko nahi mila.

Haayee. Us k honton pey paani ki boond ka chalna,
Najany kitni aabshaaron ka dil jalta ho ga.

Dolat ko ham ney daikha hai baazaar-e-misr main,
Sitam'gar itni hai, paighambar khareed laiti hai.

Us simt chaly ho to bas itna usy kehna.
Ab koi nahi hai harf-e-tamanna usy kehna.
Duniya to kisi haal main jeeny nahi daiti,
Chahat nahi hoti kabhi ruswa usy kehna.
Us ney hi kaha tha to yaqeen men ney kiya tha,
Umeed pey qayam hai ye duniya usy kehna.
Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahi hoteen,
Darya hi badal laity hain rastaa usy kehna.
Kuch log safar k liye mouzu nahi hoty,
Kuch raasty nahi kat'ty tanha usy kehna.

Usy ik saltanat, ik raaj'dhaani chaahiye thi.
Mohabbat main bhi us ko hukmurani chaahiye thi.
Bicharrny ka wo pehly sey tahaiyya kar chuka tha,
Usy meri taraf sey bad'gumani chaahiye thi.
Tu phir sey imtehan pey imtehan lainy laga hai,
Hamain is umar main kuch meharbaani chaahiye thi.
Adaa mujh ko faqat tha sarsari kirdaar karna,
Usy shohrat ki khaatir ik kahani chaahiye thi.
Yehi taareekh thi tark-e-talluq jab hua tha,
Wohi din hai to us ki yaad aani chaahiye thi.

Teri halat sey lagta hai tera apna tha koi,
Itni sang'dili sey barbaad koi ghair nahi karta.

Kar gayee barbaad hamain nisbat-e-wafa,
Khudaya jaan bacha, ab mukhlis hony sey meri touba.

Dil-e-gum'raah ko aey kaash pata hota "Mohsin",
Mohabbat dil'chasp hai tab tak, k jab tak ho nahi jaati.

Kaha tum ney,
Mujhy dil sey bhula do tum.
Mita do tum.
Chalo men maan laita hoon,
Tumhen men apny is dil sey,
Bhula doon ga, mitaa doon ga.
Magar ik kaam to kar do,
K dariya k kinaaron ko,
Kisi soorat mila do tum.
Sitaary torr kar laa do,
Ya phir is phool sey khushbu,
Juda kar k dikha do tum.
Suno Tum kar bhi lo aisa,
Kinaary jorr bhi laao,
Sitaary torr bhi laao,
Chaman k saary phoolon sey,
Juda khushbu ko kar do tum.
Magar men tum ko is dil sey,
Mita phir bhi nahi sakta,
Suno Men mar to sakta hoon,
Bhula phir bhi nahi sakta.

Kaisy guzar rahi hai, sabhi poochty to hain,
Kiasy guzaarta hoon? koi poochta nahi.

Usi ka zikar phir chairro k aansu toot k barsain,
Mujhy dil k sabhi pardy nami sey paak karny hain.

Wo halkaa-e-yaaraa'n, wo meri shokh mizaaji,
Aey gardish-e-haalaat bata wo waqt kahan hai?

Wohi muntazir nigaahain, wohi shaam ka manzar,
Men azal sey dhoondta hoon, teri waapsi ki raahain.

Bas yehi na k tarrap k raat guzri,
Tum na aaye to kya sawera na hua?

Kesi naazuk-o-dil fraib wo gharri thi raat ki,
Yaar ney seeny sey laga rakha tha or poocha, "Soty kion nahi?"

Najany is zid ka nateeja kya ho ga?
Samajhta dil bhi nahi, wo bhi nahi, men bhi nahi.

Sar charrh jaaye to phir utarta hi nahi,
Ye ishq bhi ghareeb k qarz jaisa hai.

Har waqt khayal-e-yaar,
Aey Dil, kya tu mera kuch nahi lagta?

 
 
 
 
 

Today's Visitors

Total Visitors

Today's Page Views

Total Page Views

 
This is a free homepage created with page4. Get your own on www.page4.com
 
Urdu Poetry 0