World's Ever Best Urdu Poetry

Special Offer
To receive the World's Ever Great Messages Collection on your Mobile;

Volume 3

Dilon ka khail jo khailo to ye baat bhool mat jana,
K khail khail main aksar khilony toot jaaty hain.

Be-his hain yahan loag wafa soch k karna.
Ham jaisy wafa'daron ko khafa soch k karna.
Gul shakh sey bichrry to kahin ka nahi rehta,
Tum zaat meri khud sey juda soch k karna.
Ik baar jo roothy to mana tum na sako gey,
Be-lous fakeeron sey jafa soch k karna.
Rowo gey bohat ham sey bicharr kar "Sawan",
Ye ishq k sajdy hain, qaza soch k karna.

Usko fursat hi nahi waqt nikaly "Mohsin".
Aisy hoty hain bhala chaahny waaly "Mohsin"?
Yaad k dasht main phirta hoon main nangy paaon,
Daikh tu aa k kabhi paaon k chaaly "Mohsin".
Kho gayee subho ki umeed or ab yoon lagta hai,
Ham nahi hon gey, k jab hon gey ujaaly "Mohsin".
Haakim-e-waqt kahan, men kahan, adal kahan,
Q na khilqat ki zubaan par lagaayen taaly "Mohsin".
Wo jo ik shakhs mataa-e-dil-o-jaan tha, na raha,
Ab bhala kon mery dard sanbhaly "Mohsin".?

Abhi na khol, abhi thorra hijaab rehny dey.
Kuch or din mujhy yoonhi kharab rehny dey.
Ujaarr dey mery dil ki tamam dharti ko,
Bus aik shehar, mera shehar-e-khawab rehny dey.
Wohi hua na bicharrny pey baat aa pohanchi,
Tujhy kaha tha puraany hisaab rehny dey.
Meri hathaili pey likh dey har ik nakami,
Mery Khuda tu usy kaam'yaab rehny dey.
Warq warq na tu aisy lakeerain kheenchta ja,
Kitaab-e-zindagi main koi to baab rehny dey.

Wo kehta tha, Tery jism ka saaya hoon,
Shayad isi liye andhairon main saath chorr gaya.

Sard raat, us ki yaad or ye neend ka bojh,
Muhabbat na karta, to men bhi kab ka so chuka hota.

Ik soona sa chand mery fasany main reh gaya.
Men doosron ki shammain jalany main reh gaya.
Wo aa k mery shehar sey wapis bhi ja chuka,
Men tha k apny ghar ko sajany main reh gaya.
Wapis hua to ghar mera sholon ki zad main tha,
Men masjidon k deep jalany main reh gaya.
Har pal fraib khaya or muskura diya,
Ab ye riwaaj mery hi gharany main reh gaya.
Duniya sey saari umer taa'rruf na ho saka,
Men tha k khud ko khud sey milany main reh gaya.

Lahu-lohaan chiraghon k sar mily hain mujhy.
Tumhary shehar main aisy bhi ghar mily hain mujhy.
Mujhy batao agar ghonsly salamat they,
Hawa main urrty huey kis k par mily hain mujhy.?
Men apny jaisy kisi shakhs ki talash main tha,
Magar yahan to sabhi moat'bar mily hain mujhy.
Prindy lout kar na aayen jin shakhon par,
Mera naseeb k aisy shajar mily hain mujhy.

Anaa'parast kabhi "Muhabbat" nahi karty,
"Muhabbat" us ka shaiwa hai jo khud ko maar daity hain.

Hujoom-e-doston sey jab kabhi fursat mily,
Agar samjho munasib to hamen bhi yaad kar laina.

Fikar-e-mustaqbil ney faasly bana diye warna,
Sab yaar aik saath they, abhi kal ki baat hai.

Loag muntazir hi rahy k hamen toot'ta daikhain "Wasi",
Ham zabt karty karty pathar k ho gaye.

Barri muddat sey ye aalam hai mustakil "Mohsin",
Koi waja bhi nahi, Dil udaas rehta hai.

Afsoos to ye hai k tu kamsin bhi nahi hai "Mohsin",
Phir kion tery haathon main khilonon ki tarha hoon?

Khuda ka shukar hai k aansu be-rang hoty hain,
Warna raaton ko bheegy takye, bohat sey raaz khol daity.

Ajab hain raasty mery, k chalna bhi nahi mumkin.
Zara thokar jo lag jaay, sanbhalna bhi nahi mumkin.
Tera chehra meri nazron main dhundla sa na ho jaay,
K ab bheegi hui palkon ko malna bhi nahi mumkin.
Mily hain baad muddat k, balaa k sard hain lehjy,
K jalna bhi nahi mumkin, Pighalna bhi nahi mumkin.
Taulluq toot jaany sey umeedain toot jaati hain,
Dilon main hasratain ley kar behalna bhi nahi mumkin.
Bohat naakaamiyan ley kar hua hoon kahan ka me qaidi,
Chalo ab aaj sey ghar sey mikalna bhi nahi mumkin.
Usy itna na socha kar, Teri aadat na parr jaay,
Phir aisi aadatain "Mohsin", badalna bhi nahi mumkin.

Dil dukha kar, aazma kar, rula kar chorrna.
Ham ney seekha nahi apna bana kar chorrna.
Taa k duniya ye na samjhy ham main doori ho gayee,
Sath jab bhi chorrna to muskura kar chorrna.
Hain tareeqy or bhi mujh sey bicharrny k liye,
Kya zaroori hai koi tohmat laga kar chorrna?
Hosh baaki reh gaya to jee nahi paaon ga,
Kuch na yaad aay, mujhy itni pila kar chorrna.
Tail k badly chaahy apna lahoo daina parry,
Apni fitrat hai chiraghon ko jala kar chorrna.

Kuch apni ghalatiyon ka azaala karo "Wasi".
Yoon nafraton ko dil main na pala karo "Wasi".
Seedha sa ik sawal hai, seedha jawab do,
Yoon muskura k mujh ko na taala karo "Wasi".
Sanbhly huey loagon k girny ki fikar chorro,
Jo gir rahy hain un ko sanbhala karo "Wasi".
Alfaz gira daity hain jazbaat ki qeemat,
Jazbaat ko lafzon main na dhaala karo "Wasi".

Men jo bikhroon to mery saath na rukna warna,
Ungliyan dard karain gi mujhy chunty chunty.

Kitna aasan hai kisi ko apna kehna,
Jab taqdeer faisly sunati hai to roya bhi nahi jaata.

Ik paikar-e-jamaal main uljha hua hoon main.
Uljhy huey khayal main uljha hua hoon main.
Tu ney kaha tha chaand hai bilkul meri tarha,
Ab tak usi misaal main uljha hua hoon main.
Us ney kaha k ehd-e-guzishta ko bhi sanbhaal,
Men ney kaha k haal main uljha hua hoon main.
Fursat mili to ho gi mulaaqat aap sey,
Fil'haal to malaal main uljha hua hoon main.
Nikla nahi hoon shaam ki surkhi main doob kar,
"Wasi" lahu k jaal main uljha hua hoon main.

Ye mizaaj-e-yaar ko kya hua, unhen mujh sey pyaar hai aaj kal.
Meir justuju, meri guftagu, mera intezar hai aaj kal.
Tery khatoot nikalna, kabhi daikhna, kabhi choomna,
Yehi mashghala, yehi silsila, yehi kaar-o-baar hai aaj kal.
Akaila na ghar sey kabhi nikal, zara daikh bhaal k chal,
Barri be-aitbaar, barri raah'zani, barri loot maar hai aaj kal.
Isy qatal kar, usy qatal kar, tujhy saat khoon muaaf hain,
Teri saltanat, tera dab'daba, tera iqtedaar hai aaj kal.
Ary "Meer" kal to tu rind tha, mery yaar tujh ko kya hua?
Barra maz'habi, barra paarsa, barra deen'daar hai aaj kal.

Torr kar ham ko aisy bakhairo ab ki baar,
Na phir sey jurr paayen ham, na phir sey torr paao tum.

Bina sochy khafa hona, mujhy acha nahi lagta.
Achanak be-wafa hona, mujhy acha nahi lagta.
Kisi sey bhi nahi milty ab ye soch kar yaro,
Kisi sey bhi juda hona, mujhy acha nahi lagta.

Shab-e-aawargi ham jaisy loagon sey hi qaayam hai warna,
Kitna ajeeb sa lagta hai sar-e-shaam so jana.

Ham'dardiyan, Khuloos, Dilaasy, Tasalliyan,
Dil tootny k baad huey tamashy bohat.

Tery dard ka aey dil-e-naatawan, men ilaaj karoon to kya karoon?
Na tabeeb hoon k dawa karoon, na fakeer hoon k dua karoon.

Yaar bhi raah ki deewar samajhty hain mujhy.
Men samajhta raha sab yaar samajhty hain mujhy.
Men to yoon chup hoon k andar sey bohat khaali hoon,
Or sab loag pur'israar samajhty hain mujhy.
Men badalty huey haalat main dhal jaata hoon,
Daikhny waaly adaa'kaar samajhty hain mujhy.
Wo jo us paar hain, un k liye is paar hoon men,
Wo jo is paar hain, us paar samajhty hain mujhy.
Naik loagon main mujhy naik gina jata hai,
Or gunah'gaar, gunaah'gaar samajhty hain mujhy.

Kuch meethy lamhy maangy they, kuch sard hawaayen maangi theen.
Ham ney to zamany waalon sey, do chaar wafaayen maangi theen.
Barsaat k har ik baadal ney, jee bhar k ham ko tarsaya,
Ham bheeg sakain, ye socha tha, or kaali ghataayen maangi theen.
Naakam huey jo ulfat main, majboor huey jo milny sey,
Kuch un k liye, kuch apny liye, ham ney bhi duaayen maangi theen.

Is shab k muqaddar main sehar hi nahi shayad,
Daikha hai kayee baar chiraaghon ko bujha kar.

Rukhsat hua to aankh mila kar nahi gaya.
Wo kion gaya hai ye bhi bata kar nahi gaya.
Mehsoos ho raha abhi lout aaye ga,
Jalty huey chiraagh bujha kar nahi gaya.
Rehny diya na us ney kisi kaam ka mujhy,
Or khaak main bhi mujh ko mila kar nahi gaya.

Har jurm meri hi zaat sey mansoob hai,
Kya is shehar main sab maasoom hain mery siwa?

Kaisi tanhaiyan sonpi hain ik shakhs ney mujhy "Ghalib",
K ab kisi or ko tanha daikhoon to aansu nikal aaty hain.

Baaton k har jawab main ik mukhtasir si "Haan",
Lagta hai meri zaat sey uktaa gaya hai wo.

Ishq ka azal sey ik yehi dastoor hai "Ghalib",
Jo is ko jaan laita hai, ye us ki jaan laita hai.

Wo sab maasoom sey chehry talash-e-rizq main gum hain,
Jinhen titliyan pakarrni theen, jinhen baaghon main hona tha.

Zinda rehna hai to haalat sey darna kaisa?
Jang laazim ho to lashkar nahi daikhy jaaty.

Tooty huey dil ki qasam, tujhy dil sey rawana kar k.
Ro parra aankh main tinky ka bahana kar k.
Shaam k saaye jo suraj ko chupaany nikly.
Ham diye ley k andhairon ko jalany nikly.
Or to koi na tha jo jurm-e-baghawat karta,
Aik ham hi they jo ye rasm nibhany nikly.
Shehar main, dasht main, sehra main bhi tujh ko paya,
Aey mery yaar tery kitny thikaany nikly.
Chaand nikla to men logon sey lipat kar roya,
Gham k aansu they jo khushiyon k bahany nikly.

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bicharrny ka tu malaal kar.
Tujhy dey gi jeeny ka housla, meri yaad rakh ley sanbhaal kar.
Ye bhi kya k ik hi shakhs ko kabhi sochna kabhi bhoolna,
Jo na bujh saky wo diya jala, jo na ho saky wo kamal kar.
Gham-e-aarzu meri justaju, men simat k aa gaya ru-baru,
Ye sakoot-e-marg hai kis liye? men jawab doon tu sawal kar.
Tu bicharr raha hai to soch ley, tery hath hai meri zindagi,
Tujhy chorrna meri mout hai, meri be-basi ka khayal kar.
Mery dard ka, mery zabt ka, meri be-basi, mery sabar ka,
Jo yaqeen na aaye to daikh ley, tu hawa main phool uchaal kar.

Sanbhala hosh hai jab sey muqaddar sakht'tar nikla.
Parra hai waasta jis sey wohi teer-o-tabar nikla.
Sabaq daita raha jo umar bhar roshan khayali ka,
Usy jab paas sey daikha to wo bhi tang'nazar nikla.
Samajh kar zindagi jis sey muhabbat kar rahy they ham,
Usy jab chhu kar daikha to faqat khaaki bashar nikla.
Muhabbat ka khumaar utra to tab saabit hua ham par,
Jisy ham umar samajhty they, wo be-maqsad safar nikla.

Guzar rahi hai tumhari kaisy? bicharr k ham sey, rula k hamko,
Haqeeqaton ko zaroor likhna, anaa ki khaatir chupa na laina.

Phir palat rahi hain sardion ki sohaani raatain,
Phir uski yaad main jalny k zamany aaye.

Be-hissi ki duniya main 2 sawal mery bhi,
Kis tarha jiya jaaye? or kion jiya jaaye?

Tum ney daikha hai kabhi chaand pey behta paani?
Men ney daikha hai ye manzar kisi rukhsaar pey aaj.

Hoti hai laakh ghamon ki dawa neend bhi magar,
Hoty hain aisy gham bhi k sony nahi daity.

Barson chaly "Qateel" zamany k saath ham,
Waaqif huey na phir bhi zamany ki chaal sey.

Ab ye socha hai apni zaat main rahain gey "Mohsin",
Bohat daikh liye logon sey shanasaayee kar k.

Ye chaand sitary mujhy karty hain naseehat,
Raaton ko phira karty ho, so kion nahi jaaty?

Ilzaam-e-aawargi k dar sey chorr diya shehar apna,
Warna ye choti si umar pardais k qaabil to na thi.

Gham-o-dukh k ye ishary tum na samjho gey.
Jo din hum ney tumhary bin guzary tum na samjho gey.
Tumhen kaisy bataayen, tum hamary waasty kya ho?
Sumandar ki kahani main kinaary tum na samjho gey.
Bas itna jaan lo ik shakhs sey ham ney muhabbat ki,
Hamary tootny ka khail pyary tum na samjho gey.
Hazaron mushkilon sey khail kar bhi jeetny waaly,
Ye aakhir kis jagah par aa k haary tum na samjho gey.

Gul-o-mahtaab dhoka dey rahy hain.
Sabhi ahbaab dhoka dey rahy hain.
Tumhen neendon sey shikwa hai meri Jaan
Mujhy to khawab dhoka dey rahy hain.

Maani na meri aik bhi, khud'sar hai tu aey Dil,
Ab khud hi tarrap, men to tera kuch nahi lagta.

Muhabbat kab hui? kaisy hui? sab yaad hai mujh ko
Men ghalati kar k ghalati ko bhulana bhool jaata hoon.

Kehny waalon ka kuch nahi jaata,
Sehny waaly kamaal karty hain.

Aao kabhi milny ko, bahana nahi acha.
Nazron main raho meri, zamana nahi acha.
Maango jo khushi sey to dil-o-jaan luta doon,
Yoon chhup k mery dil ko churaana nahi acha.
Ham aaj bhi qaayal hain usi baat k aey Jaa'n
Jab dil na milain, hath milana nahi acha.
Do din ki zindagi hai, usy hans k guzaro,
In qeemti lamhon ko ganwana nahi acha.

Jo cheez meri hai usy koi or na daikhy,
Insaan bhi muhabbat main bachon ki tarha sochta hai.

Bujhy bujhy sey ajeeb din hain,
Khawab hain na khayal koi.
Na manziron main kashish hai,
Na mousamon mian jamaal koi.
Ham ik doojy ko apni apni,
Adhoori ankhon sey daikhty hain,
Hamari barson ki chahaton par,
Utar raha hai zawaal koi.
Jo hansna chaahain to ashk niklain,
Jo rona chaahain to hansty jaayen,
Hamary jazbaat girwi rakh kar,
Bana raha hai misaal koi.

Us morr sey shuru karain phir sey zindagi,
Har shey jahan haseen thi or ham tum ajnabi.

 
 
 
 
 

Today's Visitors

Total Visitors

Today's Page Views

Total Page Views

 
This is a free homepage created with page4. Get your own on www.page4.com
 
Urdu Poetry 0