World's Ever Best Urdu Poetry

Special Offer
To receive the World's Ever Great Messages Collection on your Mobile;

Volume 7

Dost ban kar b nahi sath nibhany wala.
Wohi andaz hai zaalim ka zamany wala.
Ab usy log samajhty hain giriftaar mera,
Sakht naadim hai mujhy daam main laany wala.
Tery hoty huey aa jaati thi dunya saari,
Aaj tanha hoon to koi nahi aany wala.
Kya kahain kitny marasim they hamary us sey?
Wo jo ik shakhs hai moon phair k jany wala.
Main ney daikha hai baharon main chaman ko jalty,
Hai koi khuwab ki taabeer batany wala?
Tum takaluf ko bhi ikhlaas samajhty ho "Fraz",
Dost hota nahi har haath milany wala.

Yoon akaily main usy ehd-e-wafa yaad aaye.
Jaisy bandy ko museebat main khuda yaad aaye.
Jaisy bhatky huey panchhi ko nash-e-man apna,
Jaisy apnon k bicharr'nay pey dua yaad aaye.
Jaisy dhalti hui shamon ko savera koi,
Jaisy pinjry main parindy ko fiza yaad aaye.
Jaisy boorrhy ko khayalaat main bachpan apna,
Jaisy bachy ko shararat pey saza yaad aaye.
Jaisy ujrri hui basti ko zamana apna,
Jaisy tufaan k thehrny pey diya yaad aaye.

Itny masroof ho gaye ho tum?
Dil dukhany bhi ab nahi aaty.

Nigahon K Tasadum Sey Ajab Takraar Karta Hai.
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Gumaan Hai Piyar Karta Hai.
Laraz Jata Hoon Mein ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Mera Dill Uski Pooja Par Bara Israar Karta Hai.
Usay Maloom Hai Shayad Mera Dill Hai Nishanay Par,
Labon Sey Kuch Nahi Kehta, Nazar Sey Waar Karta Hai.
Mein Us Sey Pochta Hon Khawab Mein, Mujh Sey Mohabbat Hai?
Phir Aankhain Khol Deta Hoon Wo Jab Izhaar Karta Hai.

Kuch khaas dilon ko ishq k ilhaam hoty hain,
Mohabbat moujza hai, moujzy kab aam hoty hain.

Tu ney deewana banaya to men deewana bana,
Ab hosh ki duniya main mujhy tamasha na bana.

Apni kharabiyon ko pas-e-pusht daal kar,
Har shakhs keh raha hai k zamana kharab hai.

Abhi Tum ishq Mat Karna,
Abhi Matti Se Khelo Tum
Tumhari Umer Hi Kya Hai
Abhi Masoom se Ho TuM.
Nahi Maloom Abhi Tum Ko K
Jab Ye ishq Hota Hai
To insan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi tum Ne Nahi Dekha
K Jab Saathi Bicharrtay Hain
To Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mosam Mein
Hazaron Gham Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Miltay Hain
Suno.
Abhi Tum ishq Mat Krna
Abhi Masoom sey Ho TuM.

Na koi ehad nibha, na ham'nawai kar,
Bas dikhawa chorr, tasalli sey be-wafai kar.

Tera ishq tan ko thikaana bana kar,
Mujhy kooch karny pey uksaa raha hai.

Shehr-e-Gull k Khas-O-Khashaak sey khouf aata hai.
Jis ka Waris hoon, usi Khaak sey Khouf aata hai.
Shakal ban'ny nahi paati k Bigarr jaati hai,
Nai matti ko chaak sey khouf aata hai.
Yehi Lehja tha k Mayyaar-e-Sukhan thehra tha,
Ab isi Lehja-e-be'baak sey khouf aata hai.
Aag jab Aag sey milti hai to Lou daiti hai,
Khaak ko Khaak ki Poshaak sey khouf Aata hai.

Akaily pan sey darta hoon, juda hony sey darta hoon.
Meri aankhain batati hain k main sony sey darta hoon.
Meri ungli pakarr laina, mujhy tanha nahi karna,
Ye duniya aik maila hai, tumhen khony sey darta hoon.
Men hansta hoon to aankhon k goushy bheeg jaaty hain,
Tumhen maaloom hai men is tarha rony sey darta hoon.
Jab sey khuwab daikha hai, mujhy tum chorr jaao gey,
Men darta hoon khuwabon sey, men ab sony sey darta hoon.

Khaak muthi main liye qabar ki ye sochta hoon men,
Insan jo marty hain to gharoor kahan jaata hai.?

Kuch Raat Ki Aankhain Bheegi Theen,
Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,
Khuch Yaadain Uski Baqi Theen,
Aur Dil Bhi Toota Toota Tha,
Kis Morr Pe Bichrray Yaad Nahi,
Honton Pe Koi Faryaad Nahi,
Us Waday Ki Bhi Khabar Nahi,
Wo Sacha Tha Ya Jhota Tha,
Har Lamha Aahain Bhartay Hain,
Na Jeetain Hain Na Marte Hain,
Bas Aik Dua Ye Krtay Hain,
TUM Laot K Wapas Aa jaao.
Hum Tum sa mohabat karty hain.
TUM Laot K Wapas Aa jayo.
Hum Tum sa mohabat karty hain.

Na kar aey tabeeb nakaam koshishain mery dard ko samajhny ki,
Pehly ishq kar, phir chot kha, phir likh dawa mery dard ki.

Ik shayar, ik musawwar or ik fankaar bhi hoon.
Agar hoon nazuk sa koi phool to talwaar bhi hoon.
Men ney boi hai har ik morr pey nafrat laikin,
Men Mohabbat k gulistaan ka kharidaar bhi hoon.
Ho agar dost ghalat to men usy rokta hoon.
Haq pey dushman ho to dushman ka farafdaar bhi hoon.
Jurm ik shakhs sey be'lous Mohabbat hai agar,
Phir to ye sach hai k men aik khata kaar bhi hoon.
Men wo ghafil hoon jisy umar ka ehsaas nahi,
Aik aik pal ki khabar rakhta hoon, be'daar bhi hoon.
Itna azad k aakash ko chhu sakta hoon,
Aik choti si tamanna main giriftaar bhi hoon.
Mera andaz-e-tabiyyat bhi nirala hai,
Be-wafa bhi hoon to bohaat wafa'daar bhi hoon.

Sari raat ki jaagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi,
Yunhi khoye, dil hi dil mein,
Jaanay kiya kiya karti hon gi,
Sari raat ki jaagi aankhen,
Koi bolay, kaan na dharna,
Koi hillay to ek dam darna,
Koi daikhy in ka barhna,
Apne aap say larrti hon gi,
Sari raat ki jaagi aankhein,
Apni kitaabein pharty rehna,
Us ki baaten karty rehna,
Us ki yaadein gharty rehna,
Jeetay jeetay marti hon gi,
Sari raat ki jagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi.

Apny samaan ko baandhy huey is soch main hoon,
Jo kahin k nahi rehty, wo kahan rehty hain.?

Yahan alfaaz bikty hain, tijarat hai takhayyul ki,
Muhabbat aik paisha hai, tumhary shehar main jaana.

Us waqt rag-e-jaan pey barri chot lagy gi,
Jab tujh sey bichharr kar tery ham naam milain gey.

Jahan bhunchaal bunyaad-e-faseel-o-dar main rehty hain,
Hamara housla daikho, ham aisy ghar main rehty hain.

Usy kehna k us ki yaad me be'had aziyyat hai,
Ya apna naksh dho jaaye, ya phir sey mera ho jaaye.

Usy jany ki jaldi thi, So hum ankhon hi ankhon mein,
Jahan tak chhorr sakty they, Wahan tak chhorr aaye hain.

Yahan Hai Kon Mera Jo Mujhy Samjhy Ga "Sahil"?
Men Koshish Kar k Ab Khud hi Sudhar Jaon To Behtar hai.

Kabhi yak'ba'yak tawajju, kabhi be'rukhi musalsal,
Koi aazma raha hai, mujhy rukh badal badal kar.

Mumkin nahi mujh sey ye tarz-e-munafqat,
Duniya, tery mizaaj ka banda nahi hoon men.

Apnon ki chahaton main milawat thi is qadar,
Men tang aa k dushmanon ko manany nikal parra.

Mery lafzon sey na kar mery kirdaar ka faisla,
Tera wajood mit jaaye ga meri haqeeqat dhoondty dhoondty.

Be-sabab uljhanon main rehty ho,
Mujh ko tasleem Q nahi karty?

Kya khoob hota k yaadain rait hoteen,
Muthi sey gira daity, paaon sey urra daity.

Har ik shab meri haseen azaab main guzri,
Tumhary baad, tumhary khuwab main guzri.

Kuch yaad kar k aankhon sey aansu nikal parry,
Muddat k baad guzry jo uski gali sey ham.

Waqif to hum khoob thay pyar k anjaam sey,
Zara sa shoq hua, zindagi tabah kar baithy.

Khareed loon ga tujh sey teri saari ranaaiyan,
Sikky mery mizaaj k jis roz chal gaye.

Hansty huey chehron ko ghamon sey azaad na samjho,
Tabassum ki panahon main hazaron dard hoty hain.

Uska mayaar abhi mujh sey juda hai laikin,
Wo bhi bikhry ga to ho jaaye ga mery jaisa.

Usy Kehna.
Zamany walon sey chhup k rony k din nahi hain.
Usy ye kehna udaas hony k din nahi hain.
Men jaan sakti hoon wasal main asal bhaid kya hai?
Magar haqeeqat shanas hony k din nahi hain.

Mila kar khaak main mujh ko wo kuch is adaa sey bola,
Khilona tha ye matti ka, kahan rakhny k qaabil tha?

Shahoon ki tarha they, na Ameeron ki tarha they,
Hum Shehr-e-Mohabbat k, Faqiroon ki tarha they,
Darya'on mein hoty they jaziron ki tarha hum,
Sehra'on mein pani k zakhiron ki tarha they,
Afsos k samjha na humein Ahl-e-Nazar ney,
Hum waqt ki Zambeel mein Heeron ki tarha they,
Hairat hai k wo loog Bhi ab choor chaly hain,
Jo Meri Hatheli pey , Lakeeron ki tarha they.

Ham to khud sey bichrry huey loag hain,
Tum sey kya mil paayen gey?

Hawa k sath urr gaya ghar parindon ka,
Kaisy bana tha ghonsla, Ye tofan kya jany?

Masroof zindagi main teri yaad k siwa,
Aata nahi hai koi mera haal poochny.

Apny hi andar ghuta rehta hai,
Jeena mushkil hai be'zubaan k liye.

Koi Chehry Ka Hy Deewana Koi ikhlaak Ka Hy Talbgaar "Mohsin",
Adaayein Peecha Karwati Hain, Mohabbat Kon Karta Hai?

Luta kar har cheez manzil-e-ishq ki raah main,
Men hans parra hoon aaj khud ko barbaad daikh kar.

Tum aik dil ko liye baithy ho,
Ishq naslain ujaarr daita hai.

Rah-zann hai mera rahbar, munsif hai mera qaatil,
Keh dun to baghawat hai, Seh loon to qayamat hai.

Zakham khareed laya hoon bazar-e-dard sey,
Dil zid kar raha tha, mujhy Mohabbat chaahiye.

Tishnagi ankhon main or darya khayalon main rahy.
Hm nava'gar khush rahy, jaisy b haalon main rahy.
Is qadar dunya k dukh aey khoob'soorat zindagi,
Jis tarha titli kayee makri k jaalon main rahy.
Dekhna aey rehnavard-e-shauq Kooye yaar tak,
Kuch na kuch rang-e-hina paaon k chhaalon main rahy.
Ham sey Q maangy hisaab-e-jaa'n koi? jab umar bhar,
Kon hain? kya hain? kahan hain? In swalon main rahy.
Badzani aisi k ghairon ki wafa b khot thi,
Sooye zan aisa k ham apnon ki chaalon main rahy.
Aik dunya ko meri deewangi khush aa gai,
Yaar maktab ki kitabon k hwalon main rahy.

Tanhai k sehra main yoon chorr k chal daina.
Choti si shikayat par moon morr k chal daina.
Ye kaisi Mohabbat hai? Ye kaisi rafaqat hai?
Gar paas-e-wafa rakh kar, tum maan barrha daity.
Be'lous rafaqat par emaan barrha daity.
Men fakhr sey phir kehta, Tum jaan-e-rafaqat ho.
Tum baab-e-Mohabbat ho, Tehreer-e-sadaqat ho.
Ye sab hai magar tab bhi, hai mujh ko yaqeen ab bhi.
Jo kuch bhi kaha men ney, Shikwa ya shikayat hai.
Laikin ye haqeeqat hai, Bus tum sey Mohabbat thi,
Or tum sey Mohabbat hai.

Tarrapta hai, sisakta hai, tarasta hai magar,
Usy keh do kisi k hijar main marta nahi koi.

Boorrhi sochain mere chehray pe chipak k reh gaeen,
Main jawaan umri mein he sadiyon purana ho gaya.

Be'tahasha Muhabbaton k ameen,
Be'wajah chorr bhi to jaaty hain.

Aik arsay sy mayassar nahi hy,
Wo lafz k jisy qaraar kehty hen.

Umar-e-rawan phir kabhi nahi muskurai bach'pan ki tarha,
Men ney gurriya bhi khareedi, khilony bhi ley kar daikhy.

Un'hi Lafzon K Ashk Banty Hain,
Jo ZubaaN Sey Adaa Nahi Ho Paaty.

Deemak zada kitaab thi yaadon ki zindagi,
Har warq khulny ki tamanna main phat gaya.

Ik shakhs ki mout ka ajeeb qissa suna men ney,
Kehty hain k yaadon k bojh taly dab k mar gaya.

Maloom Hota Hai Bhool Gaye Ho Shayed,
Ya Phir Kamal Ka Sabr Rakhty Ho.

Har Shakhs  Mujhy Soorat-e-Akhbaar Samajh Kar,
Safhaat Sey Matlab Ki Khabar Kaat  Raha Hai.

Ujala ban k aa jao mery taareek lamhon main,
K tery bin sabhi khushiyan mujhy ghamgeen karti hain.

Duniya meri wafa ka sila de chuki mujhy,
Tu bhi mera khuloos mery moon pey maar dey.

Shehr-e-wafa main dhoop ka sathi nahi koi,
Sooraj saron pey aaya to saaye bhi ghat gaye.

Ishara to madad ka kar raha tha doobny wala,
Magar yaaraan-e-sahil ney salam-e-alvida samjha.

Bhool gaye ho to bata do mujh ko,
Mujh main marny ki himmat aa gayee hai.

Kabhi kabhi husn bhi ban jaata hai duniya bhar ka tamasha,
Ibrat k liye misr ka bazar hi kaafi hai.

Aaj bhi gaaon main kuch kachy makanon waaly,
Apny hamsaye k ghar faaqa nahi hony daity.

Uljhi Nigahon sey Musalsal Mujhy Daikhta Raha,
Aai'ny Main Kharra Shakhs Pareshan Bohat Tha.

Ghairon Sey Poochti Hai Tareeqa Nijaat Ka,
Apnon Ki Sazishon Sey Pareshan Zindagi.

Goonjty Rehty Hain Alfaz Mery Kanon Main,
Tu To Barry Araam Sey Keh Daita Hai.

Zindagi kuch dinon ki hai or Men,
Kuch dinon sey bohaat pareshan hoon.

Koi taveez aisa laa do k men chalaak ho jaaon,
Bohat nuqsan daiti hai meri ye saadgi mujh ko.

Shehar-E-Khayal-O-Khuwab Main Abaad Ho Gaya.
Itna Usy Parrha K Mujhy Yaad Ho Gaya.
Men Aaj Tak Hoon Jis K Faraib-O-Hisaar Main,
Wo Aur Hi Kisi Ka Mery Baad Ho Gaya.
Aandhi Hawa Ka Saath Nibhany K Shok Main,
Koi Tabah Hua Koi Barbad Ho Gaya.
Apni To Sari Umer Aseeri Main Kat Gayee,
Jis Ney Bhi Haar Maan Li Azaad Ho Gaya.
Pehly To Tanhaiyon Sey Rahi Guftagu Meri,
Phir Yoon Huwa K Aayena Ejaad Ho Gaya.

Qunj-e-hairat sey chaly, Dasht-e-ziyan tak laaye.
Kon laa sakta hai, ham dil ko jahan tak laaye.
Aik hangama barpa hai pass-e-deewar-e-badan,
Hai kisy taab-e-sukhan, Kon zuban tak laaye?
Theek hai, chashm-e-taghaful ye teri dain sahi,
Taab zakhmon ki magar koi kahan tak laaye?
Aankh weeran thi kisi dasht-e-tapan ki soorat,
Ham isy silsila-e-aab-e-rawaan tak laaye.
Tujh ko jo chaahiye be'khouf-o-khatar ley ja tu,
Kon kafir hai jo dil main gumaa'n tak laaye.

Loag shamil they or b laikin,
Dil teri koshishon sey toota hai.

Kal raat dil-e-qaasir seeny sey nikala.
Ye aakhri kaafir tha jo madeeny sey nikala.

Kaha tha na k bhool jaao gey mujhy.?
Or meri is baat par aksar larra karty they tum.

Ghazal k roop main dhal jaon kash men bhi kabhi,
Udaas lamhon main shayad wo gun'gunaye mujhy.

Koi dey dard to us dard ko sehna Mohabbat hai.
Shikayat ho magar phir bhi nahi kehna Mohabbat hai.
Mohabbat maangna "Saim" Mohabbat k munaafi hai,
Mohabbat karty rehna, karty hi rehna Mohabbat hai.

Ab ye aalam hai k tanhai sey ham tang aa kar,
Khud hi darwazy ki zanjeer hila daity hain.

Wo apny sath mujhy qaid kar k ley jaye,
Khuda kary koi aisa qasoor ho mujh sey.

Wo tera ik wada k ham kabhi bhi juda nahi hon gey,
Wo qissa men sabhi ko suna kar muskurata hoon.

Wo tujh ko bhooly hain to tujh par b laazim hai "Sarfraz"
Khak daal, aag laga, naam na ley, yaad na kar.

Aadat-e-zabt ka hukam hai k dabaye rakh toofan ko,
Or josh-e-ashk cheekh raha hai, Baha dey Duniya.

Aks-o-aayena main ab rabt ho kya tery baad?
Ham to phirty hain khud apny sey khafa tery baad.

Ehteyatan bujha sa rehta hoon,
Jalta rehta to raakh ho jata.

Mohabbat k fasany to bohat hain par zamany main,
Inhen mapa to jata hai magar tola nahi jata.

Chehry sajy sajy hain to dil bujhy bujhy,
Har shakhs main tazaad hai din raat ki tarha.

Raabty zaroori hain agar rishty bachany hain,
Laga kar bhool jaany sey to poday sookh jaaty hain.

Zulm itna na kar k log kahain tujhy dushman mera,
Men ney dunya ko, tujhy apna  bata rakha hai.

Kisi ko raaz mat daina, agar duniya main rehna hai,
Ye duniya ik tmasha hai, tumhen bad'naam kar dey gi.

Faqat baatain andhairon ki, mehaz qissy ujaalon k,
Chiragh-e-aarzu ley kar, na tum nikly na ham nikly.

Bohat hi kam nazar aaya mujhy ikhlaas logon main,
Ye doulat bat gayee shayad, bohat hi khaas loagon main.

Kuch us ney bhi toot kar daikha jheel aankhon sey,
Kuch hamain bhi gehrayee k khazanon ka shok tha.

Mukhlis har kisi k sath rehta hoon.
Shayad isi liye khali hath rehta hoon.

Agar hain mukhlis iqrar-e-mohabbat main,
Talab khud kar liye jaayen gey darbar-e-mohabbat main.

Ab na jagain gey raaton ko teri yaadon k sahary,
Hum ney fitrat ko badalna hai teri nazron ki tarha.

Log ehsaas ki roundi hui zambeelon main,
Phaink daity hain taaluq ko purana kar k.

Mout k mukhalif to bohat hain is Mohabbat bhary jahan main,
Magar zindagi sey naraaz bhi ik shakhs rehta hai yahan.

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi sey,
Ye wo wafat hai jis ki khabar nahi hoti.

Tark-e-taaluq ki wajah kuch to bataty jaty,
Ab kahan kahan men khud main burai dhoondoon.?

Udasi, sham, tanhai, kasak yadon ki, be'chaini,
Mujhy sab sonp kar sooraj utar jata hai pani main.

Pakarr kar hath us ney hath main ghar sey nikala hai,
Pakarr kar hath jis ko hath main chalna sikhaya tha.

Jee to chahta hai kabhi aag laga kar khawahishon ko,
Phir kahin door kharry ho k tamasha daikhoon.

Jab bhi ham ney jis par aksar maan kiya hai,
Us ney jitna mumkin tha, nuqsan kiya hai.

 
 
 
 
 

Today's Visitors

Total Visitors

Today's Page Views

Total Page Views

 
This is a free homepage created with page4. Get your own on www.page4.com
 
Urdu Poetry 0