Volume 2
Kabhi thak k so gaye ham, kabhi raat bhar na soye.
Kabhi hans k gham chupaya, kbhi moon chupa k roye.
Meri daastaan-e-hasrat wo suna suna k roye.
Mery aazmany waly, mujhy aazma k roye.
Shab-e-gham ki aap'beeti jo sunaai anjuman main,
Kayee sun k muskuraay, kayee muskura k roye.
Men hoon be-watan musafir, mera naam be-kasi hai,
Mera koi bhi nahi hai jo galy laga k roye.
Mery paas sey guzar kar mera haal tak na poocha,
Men ye kaisy maan jaaon k wo door jaa k roye?
Wo mily jo raasty main to bas itna hi kehna us sey,
Men udaas hoon akaila mery paas aa k roye.
Bohat khamosh reh kar jo sazaayen mujhko daita tha.
Barry sundar sey jazbon ki wafaayen mujhko daita tha.
Kabhi jo dard ki aatish sulagny mujhy main lagti thi,
Wo apni saans ki mehki hawaayen mujhko daita tha.
Usy men ajnabi samjha magar har morr par,
Wo apny naam ki saari duaayen mujhko daita tha.
Hai yaad mulaaqat ki wo sham abhi tak.
Men tujhko bhulany main hoon naakam abhi tak.
Aa tujhko dikhaon k tery baad sitam'gar,
Veeran parry hain ye dar-o-baam abhi tak.
Gar tark-e-talluq ko hua hai aik zamana,
Honton pey machalta hai tera naam abhi tak.
Mehsoos ye hota hai k wo ham sey khafa hain,
Kya tark-e-muhabbat ka hai ilzaam abhi tak?
Meh'khaany main bhooly sey chaly aay they "Mohsin"
Ahbaab ki nazron main hain bad'naam abhi tak.
Hukam tera hai to taameel kiye daity hain.
Zindagi hijar main tehleel kiye daity hain.
Tu meri wasl ki khawahish pey bigarrta kion hai?
Raasta hi hai, chalo tab'deel kiye daity hain.
Aaj sab ashkon ko aankhon k kinaary pey bulao,
Aaj is hijar ki takmeel kiye daity hain.
Ham jo hansty hue achy nahi lagty tujhko,
Hukam kar, abhi aankh ko jheel kiye daity hain.
Mujh sey baad-e-baharaan ney ro kar kaha,
Teri qismat baharon k qaabil nahi.
Teri duniya hai ashkon main doobi hui,
Teri aankhen nazaron k qaabil nahi.
Meri kashti ko toofan ney bousy diye,
Boli mouj-e-talatum mujhy daikh kar,
Teri taq'deer main hain bhanwar hi bhanwar,
Teri kashti kinaron k qaabil nahi.
Us ney mehfil sey mujhko utha kar kaha,
Mera peecha Khuda k liye chorr do,
Meri mehfil main phir na aana kabhi,
Ye muhabbat k maaron k qaabil nahi.
Zamany k sawalon ko men hans kar taal doon laikin,
Nami aankhon ki kehti hai mujhy tum yaad aaty ho.
Teri bheji hui tehreeron ka kabhi doon ga tujhy jawab "Sagar"
Bas kisi apny ki di hui thokar sey sanbhal jaaon zara.
Tishnagi roz mulaaqat main reh jati hai.
Meri ik baat kahin baat main reh jati hai.
Chand aankhon sey guzarta hai, guzar jata hai,
Chandni dil ki muzaa'faat main reh jati hai.
Khawab main hath mila kar wo chala jata hai,
Or phir ik dhanak hath main reh jati hai.
Uska chehra to nikal jaay meri sochon sey,
Roshni mery khayalat main reh jati hai.
Jab wo raa'naayee si uth jaay mery pehlu sey,
Ik tanhai meri zaat main reh jati hai.
Ye aankh rony ki shiddat sey laal thorri hai.
Malaal magar itna malaal thorri hai.
Bas apny waasty hi fikar'mand hain sab loag,
Yahan kisi ko kisi ka khayal thorri hai.
Paron ko kaat diya hai urraan sey pehly,
Ye khouf-e-hijar hai, shouq-e-wisaal thorri hai.
Maza to jab hai k haar k bhi hansty raho,
Hamesha jeet hi jaana, kamal thorri hai.
Lagani parrti hai dub'ki ubharny sey pehly,
Gharoob hony ka matlab zawwal thorri hai.
Ye dukh nahi k andheron sey sulaah ki ham ney "Fraz"
Dukh to ye hai k ab subha ki bhi talab nahi hamen.
Jo kaanp uth'ta tha mujhy ganwany k khouf sey.
Wo chorr gaya mujhy zamany k khouf sey.
Duniya main kuch khaas khush nahi hoon main,
Jee raha hoon bas mar jaany k khouf sey.
Hamari misaal bhi un phoolon ki si hai "Fraz"
Jo khilty hi nahi murjhany k khouf sey.
Haseen yaadon main khoya tha bicharrny sey zara pehly.
Barra khush'fehm soya tha bicharrny sey zara pehly.
Wo jis k hath choony ko be-ad'bi samajhty they,
Galy sey lag k roya tha bicharrny sey zara pehly.
Usy maaloom tha shayad judai hi muqaddar hai,
Wo kin sochon main khoya tha bicharrny sey zara pehly.
Khushiyon k chaar pal hi sada dhoond'ta raha.
Kya dhoond'na tha or men kya dhoond'ta raha.
Maayoosiyon k shehar main mujh sa ghareeb shakha,
Lainy ko saans thorri hawa dhoond'ta raha.
Maaloom tha k meri nahi hai koi khata,
Phir bhi men wahan apni khata dhoond'ta raha.
Men jaanta tha mujh ko nahi mil sakain gey wo,
Phir bhi men sada unka pata dhoond'ta raha.
Phir yoon hua k un sey mulaaqat ho gayee,
Phir umar bhar main apna pata dhoond'ta raha.
Kitna dil'chasp hai izhaar-e-muhabbat uska,
Us ney tasveer saja di meri tasveer k shat.
Bikhri bikhri shaamon main,
Sehmi sehmi raaton main,
Tanha tanha lamhon main,
Gum'sum gum'sum baaton main,
Kuch guzra zamana yaad aaya.
Aaj gosha-e-tanhai main,
Ik shakhs purana yaad aaya.
Kaghaz ki tehreeron main,
Dhundli si tasveeron main,
Ik chehra anjana yaad aaya,
Wo parrhna usy kitaabon main,
Or dhoondna usy khuwabon main,
Usy paany ki is koshish main,
Meri neend ka jaana yaad aaya.
Aaj gosha-e-tanhai main,
Ik shakhs purana yaad aaya.
*
Koi waqt purana yaad aya.
Koi dour sohana yaad aya.
Or chalk sey un deevaron par,
Kuch likh kar jana yaad aya.
Tera milna neem ki chaaon main,
Or sar rakh daina kandhy par,
Mera ye kehna, koi daikh na ley,
Tera wo ghabrana yaad aya.
Kabhi aisa bhi to hota tha,
Men tujhko chorrny jata tha,
Jab wapas aany lagta tha,
Tera hath hilana yaad aya.
Wo waqt gaya, beety lamhy,
Ab har janib tanhai hai,
Ab aik hi manzar aankhon main,
Tera chorr k jana yaad aya.
Qadam ruk sey gaye hain aaj phool bikta daikh kar,
Wo aksar kehta tha,"Muhabbat" phool jaisi hai.
Mery shikwon par us ney hans kar kaha "Wasi"
Kis ney ki tujh sey wafa jo ham karty?
Har aik jaanib sumandar hai kinara kion nahi milta?
Mery Moula bata mujhko sahar kion nahi milta?
Mujhy is shehar main din bhar hazaron loag milty hain,
Jisy main dhoond'ny nikla hoon wo pyara kion nahi milta?
Jisy chaha, jisy pooja, jisy socha, jisy likha,
Mery Moula mera us sey sitara kion nahi milta?
Kashti nahi badli, darya bhi nahi bad'la.
Or doobny walon ka jazba bhi nahi bad'la.
Hai shouq-e-safar aisa ik umar sey yaro,
Manzil bhi nahi paaye, rasta bhi nahi bad'la.
Meri aawargi main daakhil hai kuch tumhara bhi "Mohsin"
Tumhari yaad aati hai to ghar acha nahi lagta.
Phir bhi baithi hai khizaan baagh ki deewar k sath.
Jab k patta bhi nahi hai ashjaar k sath.
Aik hai meri anaa, aik anaa kis ki hai?
Kis ney deewar bana di, meri deewar k sath?
Tum barry loag ho, seedhy hi guzar jaaty ho,
Warna kuch tang si galiyan bhi hain bazar k sath.
Men ney pehchan liya door sey ghar tera,
Phool lipty huey daikhy jahan deewar k sath.
Mustaqil dard ka souda hai zara narmi sey,
Kuch riaa'yat bhi to karty hain khareedar k sath.
Men ney ulfat k taqazon ko nibhaya aksar.
Or loagon ney mera dard bharrhaya aksar.
Men ney tooty huey loagon ko uthana chaha,
Or loagon ney sar-e-raah giraya aksar.
Men ney chahat ko zamany main tamasha na kiya,
Apny dhalty huey ashkon ko chupaya aksar.
Yoon tery tark-e-talluq sey shikayat kaisi?
Chorr daita hai mera sath bhi saya aksar.
Wafa ki jang mat karna bohat be-kaar jati hai.
Zamana jeet jata hai, muhabbat haar jati hai.
Hamara tazkara chorro, ham aisy loag hain jinko,
Zamana kuch nahi kehta, wafa hi maarjati hai.
Chashm-e-num, teri rawani sey alag rehta hoon.
Jaisy k aag hoon, pani sey alag rehta hoon.
Gum'shuda sa shakhs hoon mat dhoond mujhy rahon main,
Men har ik yaad de'hani sey alag rehta hoon.
Tu mery tazkara-e-ishq main kion aata hai?
Men to apni bhi kahani sey alag rehta hoon.
Men boajh ban jaaon ga aik din apny hi Doston pey jab,
Kandha badal rahy hon gey wo har do qadam k baad.
Ro parra wo shakhs aaj alvida kehty kehty,
Meri shararton par jo daita tha dhamkiyan judai ki.
Unko na'moos bhi, izzat bhi, pazeer'aai bhi.
Mujhko rony ko muyassar nahi tanhai bhi.
Apny hi haal pey hans'na, kabhi hans k ro daina,
Men baa'yak waqt tamasha bhi, tamasha'aai bhi.
Aik naqsh ho na paay idhar sey udhar mera,
Jaisa tumhen mila tha,mujhy waisa juda karo.
Shamil hain tery khail main tafreeh k liye,
Baazi to barri dair sey ham haar chuky hain.
Usy to kho diya hai ab najany kis ko khona hai?
Lakeeron main judai ki alaamat ab bhi baaqi hai.
Wo zehar dey kar maarta to duniya ki nazron main aa jata "Wasi"
So us ney aisa kiya k muhabbat ki,or mujhy chorr diya.
Jab main dooba to sumandar ko bhi hui hairat mujh par,
Ajeeb shakhs hai, kisi ko pukaarta hi nahi.
Apny hi hoty hain jo dil pey waar karty hain "Fraz"
Ghairon ko kya khabar k dil kis baat pey dukhta hai.
Is simt samaitoon to bikharta hai udhar sey,
Dukh daity huey yaar ney daman nahi daikha.
Ye mera ishq tha k deewangi ki inteha "Fraz"
Tery hi qareeb sey guzar gaya, tery hi khayalon main.
Is darja aziyyat hai, qaza tak nahi aati.
Honton pey magar koi dua tak nahi aati.
Ye khaima-e-takleef-o-ghutan hai or mery yaar,
Is dasht-e-muhabbat main hawa tak nahi aati.
Suna tha dard ka ehsas to apnon ko hi hota hai "Mohsin"
Jab dard hi apny dain to ehsas kon kary ga?
Wo bach'pan bhi kitna ajeeb tha jab sar-e-aam roya karty they "Fraz"
Ab aik bhi ansu nikly to loag hazaron sawal karty hain.
Samait kar ley ja apni yadon k adhoory kissy,
Agli chahat main tujhy in ki bhi zaroorat ho gi.
Muhabbaton k haseen fasany ki baat mat kar.
Tu is zamany main, us zamany ki baat mat kar.
Qabooliyat ka hai konsa pal, kisy khabar,
Mazak main bhi tu mujhy chorr jany ki baat mat kar.
Guloon ko bhi nahi aaya abhi tak is tarha khilna,
Sawairy jis tarha wo neend sey be-daar hota hai.
Tu lafzon ki tarha mujh sey kitabon main mila kar.
Loagon ka tujhy dar hai to khawabon main mila kar.
Phool ka khusbu sey talluq hai zaroori,
Tu mehak ban kar mujh sey gulabon main mila kar.
Jisy choo kar men mehsoos kar sakoon,
Tu masti ki tarha mujh sey sharabon main mila kar.
Men bhi insan hoon, hai dar mujhko bhi behakny ka,
Is waasty tu mujh sey hijaabon main mila kar.
Ab to bas jaan hi dainy ki baari hai "Sagar"
Main kahan tak saabit karoon k wafa hai mujh main?
Hamko aata nahi zakhmon ki numaayesh karna,
Khud hi roty hain, tarrapty hain, so jaaty hain.
Tanhai to hai sathi apni zindagi k har ik pal ki,
Chalo ye shikwa bhi door hua k kisi ney sath na diya.
Yahan uljhy uljhy roop bohat.
par asli kam, beh-roop bohat.
Us pairr k neechy kya rukna,
Jahan saya kam ho, dhoop ho bohat.
Chal "Insha" apny gaaon main.
Baithain gey sukh ki chaaon main.
Kion teri aankh sawali hai?
Yahan har ik baat niraali hai.
Is dais basaira mat karna,
Yahan muflis hona gaali hai.
Chal "Insha" apny gaaon main.
Jahan sachy rishty yaariyon k.
Jahan ghoongat,zewar naariyon k.
Jahan jharny komal sur waly,
Jahan saaz bajy bin taaron k.
Chal "Insha" apny gaaon main.
Koi ehsas bhi usko yaad nahi.
Koi baat bhi usko yaad nahi.
Ik shakhs ney usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahi.
Jab shab ki bijli chamki thi,
Or baadal toot k barsa tha,
Ham donon jis main bheegy they,
Wo barsaat bhi usko yaad nahi.
Wo sahil, darya, phool, hawa,
Wo wada saath nibhany ka,
Or shab bhar chand ko daikha tha,
Wo raat bhi usko yaad nahi.
Wo kehta tha men sunta tha,
Men kehta tha wo sunta tha,
Un laakhon baaton main koi,
Ik baat bhi usko yaad nahi.
Tumhen jo be-sabab mujh sey khafa hony ki aadat hai.
Ye aaghaaz-e-judai hai k andaaz-e-muhabbat hai?
Wafa k rang main daikho, jafa achi nahi hoti,
Kisi sey pyar main itni anaa achi nahi hoti,
Chalo ab maan bhi jaao, bohat si ho chuki ranjish,
Kisi din or kar laina ye poori tum apni khawahish,
Faqat kehny ki baatain hain, nibhata kon hai kis ko?
Chalo ab daikh laity hain, manata kon hai kis ko?
Apny labon ko dushman-e-izhaar mat bana.
Sachy hain jo unhen gunah'gaar mat bana.
Jitny bhi lafz hain wo mehakty gulaab hain,
Lehjy k farq sey unhen talwar mat bana.
Ilzaam kuch to gardash-e-ayyam ko bhi dey,
Apny har ik gham ko, gham-e-yaar mat bana.
Har aik k liye isko khula mat rakh "Qateel"
Ye dil aik ghar hai, isy bazar mat bana.
Ab to mumkin hi nahi un sey mulaqaat "Wasi"
Ab to urooj pey pohanchi hai uski zaat "Wasi"
Wohi waady hain or zakhmon ki zanjeerain baaqi,
Kab badalti hain zamany ki riwayaat "Wasi"
Ik wo din they k ik doosry ko sochty they ham,
Ab milty nahi donon k khayaat "Wasi"
Meri har subha k aaghaaz tery naam sey ho,
Teri yaadon main kat'ti meri har raat "Wasi"
Tum kahan or mery pyar ka mayyar kahan,
Wo kitni saad'gi sey keh gaya ye baat "Wasi"
Ghareebon ki ye basti hai, kahan sey shokhiyan laaon?
Yahan bachy to rehty hain, magar bach'pan nahi rehta.
Daikh k duniya ko ham bhi bad'lain gey ab mizaaj-e-zindagi,
Raab'ta sab sey ho ga,laikin waasta kisi sey nahi.
Halaat doston sey bohat door ley gaye "Ghalib"
Laakhon they gham-gusaar, abhi kal ki baat hai.
Is shehar-e-be'chiraagh main tu jaay gi kahan?
Aa aey shab-e-tanhai, tujhy ghar hi ley chaloon.
Kab lout k aao gey bata kion nahi daity?
Deewar bahanon ki gira kion nahi daity?
Tum paas ho mery to pata kion nahi daity?
Tum door ho mujh sey to sadaa kion nahi daity?
Ik tery siwa or kisi ko bhi na chaha,
Ye baat zamany ko bata kion nahi daity?
Baahir ki hawaon ka agar khouf hai itna,
Jo roshni andar hai bujha kion nahi daity?
Raaton ko jaagny ki saza daity ho aksar,
Tum ham ko wafaon ka sila kion nahi daity?
*
Ik baar hi jee bhar k saza kion nahi daity?
Men harf-e-ghalat hoon to mita kion nahi daity?
Moti hoon to daman-e-muzna main piro lo,
Aansu hoon to palkon sey gira kion nahi daity?
Saya hoon to sath na rakhny ki waja kya?
Pathar hoon to rasty sey hata kion nahi daity?
*
Dil husn k sholon main jala kion nahi daity?
Tum mujhko muhabbat ki saza kion nahi daity?
Dil ki sunsaan raahon par sey guzar jaaty ho chup chaap,
Jo dil pey guzarti hai bata kion nahi daity?
Ik aag jo bujhti hai na bharrakti hai dil main,
Us aag ko daaman ki hawa kion nahi daity?
Ro ro k shab-e-hijar guzaro gey kahan tak?
Tum uski muhabbat ko bhula kion nahi daity?
Aey phool sey chehro,zara itna to batao,
Tum dard to daity ho,dawa kion nahi daity?
Tab'deeli jab bhi aati hai mousam ki adaaon main,
Kisi ka yoon badal jaana, bohat hi yaad aata hai.
Shayad koi taraash kar qismat sanwaar dey,
Yehi soch kar men umar bhar pathar bana raha.
Doobi hain meri ungliyan mery hi khoon main,
Ye kaanch k tukrron pey bharosy ki saza hai.
Be-noor si lagti hain tery baad fizaa'yen,
Ab deep to jalty hain par ujala nahi karty.
Phoolon sey zakhm khaay or kaanton sey seeh liye,
Ye bhi rafu'gari ki anookhi misaal hai.